Moj_E_Idraak
Ye Dasht Ye Daria Ye Mehkte Howe Gulzar..*
Is Aalam Amkan Mein Abhi Kuch Bhi Nahi Tha..*
Ek Jalwa Tha So Gham Tha Hijabat-e-Aadam Mein..*
Ek Aks Tha So Muntazir-e-Chashm Yaqeen Tha..*
Ye Mosam Khushbo Ye Gehar Tabi-E-Shabnam..*
Ye Ronaq Hangama Konain Kahan Thi..*
Gulnar Ghataon Se Ye Chanti Hoi Chaon..*
Ye Dhoop Dhank Dolat-e-Dareen Kahan Thi..*
Ye Nighat-E-Ehsas Ki Mqrooz Hawain...*
Dil Dari Elham Se Mehke Howe Lamhat...*
Dosheeza anfaas ki Tasbeeh K Taiwar...*
Kis Kanj-E-Tasawor Mein Thay Masroof-E-Manjat...*
Sheraza aaeen qadam k sabhi earaab......!
Be Rabti Aa Jaye Sawalat Mein Gum Thay...*
Ye Rang Ye Neerang Ye Aurang Ye Sab Rang...*
Ek Parad Afkaar-O-Khayalat Mein Gum Thay...*
Ye Phool Ye Kalian Ye Chatakte Howe Ghunche..*
BeAab-O-Hawa Tashna Ayat-O-Manajat...*
Ye Barg Ye Barkha Ye Lachakti Hoi Shakhain..*
Bigana Adaab-E-Sahar Benaam Jazbat...*
Kohesaar K Jharno Se Phelti Hoi Kirnain..*
Ek Khawab Mosalsal K Taheer Mein Nahen then.......!
Chup Chap Fizaon Mein Machalti Hoi Lehrain..*
Mahol K Be Nataq Tasawur Pe Garan then...*
Gham Khana Zulmat Na Koi Bazam-E-Charagan..*
Khorsheed Na Mehtaab, Na Anjum Na Kawakab..*
Shorsh Gy Kun Thi Na Ye Aawaz-E-Dama Dam..*
Tafreeq-E-Man o Tuo Na Masawat o Maratab..*
Hangama Shadi Na Koi Majlis-E-Matam..*
Yalghar-E-Harefan Na Jaloos-E-Gham-E-Yaran..*
Aankhon Mein Koi Zakham Na Seene Mein Koi Chak..*
Anbooh-E-Raqeeban Na Rokh-E-Lala Azraan..*
Aflas Ka Ahsaas Na Pandar-E-Zar-o-Seem..*
Bakhshish K Taqaze Na Ye Dar Youza Gari Thi..*
Pathar Ka Zamana Tha Na Sheeshe K Makaan thay..*
Ye Aqal Ka Dastoor Na Sho Reeda Siri Thi..*
Maqtool Ki Faryad Na Aawaza Qatil..*
Maqtal Thay Na Sheh Rag Mein Laho Tha Na Hos Thi..*
Darbar Na Lashkar Na Koi Adal Ki Zanjeer..*
Dil Tha Na Kahein Tairgi Kunj-E-Kafas Thi....*
Rehbar Thay Na Manzil Thi Na Raste Na Musafir....*
Qandeel Thay Na Jugno Na Satare Na Goher Thay....*
Ye Abeez-O-Asood Na Aab-o-Jad Na Zar-O-Seem....*
Insaan Thay Na Haiwan,
Na Hojar Thay Na Shajar Thay....*
Har Simt Mslat Thay Thaeer K Tallasmaat....*
Jaise Kisi Madfan Mein Ho Sadion Ka Koi Raz....*
Jis Tharah Kisi Ujre Howe Shehr K Saye....*
Ya Mout Ki Hichki Mein Pighalti Hoi Aawaz.....*
Jaise Kisi Ghar Mein Saf-E-Matam Ki Khamoshi....*
Ya Dasht-O- Bayban Mein Nazool-E-Shab-E-Aafat....*
Jaise Kisi Kohsaar PeTanha Koi Khaima....*
Ya Sham-E-Ghareeban K Tasarf Mein Samwat....*
Holay Se Sarkne Lage Hasti K Hijabat....*
Dheere Se Dhalakne Laga Takhleeq Ka Aanchal....*
Ek Khawab-E-Mosalsal K Taheer Mein Nehaan Thein....*
Mahol K Be Natq Taswaar Pe Garan Thein....*
Chan Chan K Bekharne Laga, Sheeraza Kon Kon....*
Rim Jhim Se Barasne Lage Ehsas k Badal....*
Palkain Si Jhapkne Lagi Dosheeza-E-Koneen....*
Halchal Si Hoi Pekar-E-Aallam Ki Ragon Mein....*
Aafaq K Seene Mein Dhrrkne Lagien Kirnain....*
Sheeraza Kun Dhal Bhi Gaya Tha Fayakoon Mein....*
Har Samt Bekhrne Lagien Wajdaan Ki Ki Kirnain....*
Kirnon Se Kholay Rang To Rango Se Gulistan....*
Beedar Hoi Khowab Se Khoshboye Rag O Gul....*
Khoshbo Se Mehakne Laga Daman-E-Bayabaan....*
Daman-E-Bayaban Mein Nihaan Seena Barfab....*
Barfab K Seene Mein Tallatam Bhi Shar Bhi....*
Eajaz Lab-E-Kun Se Hue Kalq Beek Waqt.....*
Shehra Bhi, Samandar Bhi, Kohestaan Bhi,
Shajar Bhi....*
Phr Had-E-Takhleeq Ki Shidad Se Peghal Kar.....*
Jagay Kai Tofaan, Teh-E-Seena Barfaab....*
Har Mojh Thi Parwarda Aakhosh-E-Tallatam....*
Har Qatra Ka Dil, Sorat-E-Be Khawabi Seemaab....*
Shano Pe Utaye Howe Baar-E-Kaf-E-Seelab.....*
Be samt Bhatakne Lagain Monh Zor Hawain.....*
Monh Zor Hawaon K Thaparron Ki Dhmak Se.....*
Dil Ban K Dharrakne Lagain Berang Fizain.....*
Berang Fizaon K Taheer K Kasak Mein.....*
Jaise Kisi Ghar Mein saf-E-Matam Ki Khamoshi.....*
Halchal Si Hoi Paikar-E-Aalam Ki Rangon Mein.....*
Panhaan Thay Shab-o-Roz Se Aalooda Zamane.....*
Be Ant Zamano K ufaq Thay Na Hadain Thein.....*
Aakhr Dia Tarteeb Inhain Dast-E-Qaza Ne.....*
Phir Chashm-E-Taheer Ne Ye Socha K Fiza Mein.....*
Shadabi Gulzar-E-Tarab, Kis K Liye Hai.....?
Ye Kon Howa Bais-E- Takhleeq-E-Do Aalam.....*
Ye Arz-O-Sama Kion Hain Ye Sab Kis K Liye Hai......*
Tazaeen-E-Ma o Anjum-E-Aflak Ka Bais......*
Hai Kon..? Jo Kholot K Hajabon Main chopal Hai.....?
Takhleeq-E-Rag o Reesha Koneen Ka Maqsad......*
Hai Kiya...? Jo Sar-E-Luh-E-Shab Rooz Lekha Hai.....*
Hai Kis K liye Ashwa Belqees-E-Tasawar.......*
Ye Ghamzah Rukhsar-E-Jahaan Kis K liye Hai......?
Aaraish Khaal o Khad-E-Hasti Ka Sabab Kon.......?
Ye Anjum-E-Kon o Makaan Kis K Liye Hai......?
Pher Risham-E-Anwaar Ka Malbos Pehan Kar.......*
Zaher Hua Ek Peekar-E-Sad Rang Ba-sad Naaz......*
Nekhray Kai Bekhray Hue Rangon K Manazar........*
Fitrat Ki Tajali Hoi Aamada Ejaaz........*
Wo Pekar-E-Taqdus Wo Sarmaya Takhleeq......*
Wo Qabla Jan Maqsad-E-Takhleeq-E-Do Aalam.......*
Wajdaan Ka Mayar Ma o Meher Ka Mehwar.....,*
Wo Qafla Salar-E-Mizaj Bani Aadam......*
Wo Manzil-E-Aarbab-E-Nazar Fikar Ki Tajseem.....*
Wo Kaba Taqdeer Do Aalam Rukh-E-Ehsaas......*
Wo Bazm-E-Shab o Roz Ka Sultan-E-Muzam......*
Wo Ronaq-E-Rukhsara-E-Feeroza o Almaas......*
Wo Shulgi Shama-E-Haram Tabish-E-Khorsheed......*
Wo Aaina Husn-E-Rukh-E-Arz o Samawat......*
Wo Jis Se Rawaan Muj-E-Tabasum Ki Sabeelain......*
Wo Jis K Takalm Ki Dhanak Chashma Aayat....*
Wo jis ka sana khawan Dil-E-Fitrat Ka Takalum.......*
Hasti K Manzar, Kham-E-Abro K Ishare......*
Afaq Hain Daman Ki Sabahat Pe Tasdeeq......*
Qadmo K Neshan Dhondte Pherte Hain Satare.......*
Us Rhmat-E-Aalam Ka Qaseeda Kahon Kaise......*
Jo Mehr-E-Inayat Bhi Ho, Abar-E-Karam Bhi......*
Kia Us K Liye Nazar Karon Jis Ki Sana Main......*
Sajde Mein Hon Alfaz Bhi, Satarain Bhi Qalam Bhi......*
Chehra Hai K Anwaar-E-Do Aalam Ka Saheefa......*
Aankhain Hain K Behreen Taqados K Nageen Hain......*
Matha Hai K Wahdat Ki Tajali Ka Warq Hai......*
Aarz Hai K Wal Fajar K Aayat K Ameen Hain......*
Geeso Hai K Wal Lail K Bikhre Howe Saye......*
Aabro Hain K Qoseen-E-Shab-E-Qadar kholay Hain.....*
Gardan Hai K Bar Farq-E-Zameen Auoj Surya......*
Lab Sorat-E-Yaqoot Shoaon Mein Dhale Hain......*
Qad Hai K Naboat K Khad-O-Khaal Ka Mayar......*
Bazo Hain k Toheed ki Azmat K Aalam Hain......*
Seena Hai K Ramz-E-Dil Hasti Ka Khazeena......*
Palkain Hain K Alfaz-E-Rukh-E-Laoho Qalam Hain.......*
Batain Hain K Toba Ki Chataki Hoi Kalian......*
Lehja Hai K Yazdan Ki Zaban Bol Rahai Hai.....*
Khutbe Hain K Sawan K Amndtay Howe Daria.....*
Qirat Hai K Asrar-E-Jahan Khul Rahi Hai......*
Ye Dant, Ye Sheeraza-E-Shabnam K Tarashe.......*
Yaqoot Ki Waadi Mein Damakte Howe Heere.......*
Sharminda Taab-E-Lab-O- Dandan-E-Payambar.......*
Harf-E-Ba Sana Khawani-O-Khama Ba Sareeray......*
Ye Moj-E-Tabasum Hai K Rangon Ki Dhanak Hai......*
Ye Aks-E-Matanat Hai K Thera Hua Musam.......*
Ye Shokr K Sajday Hain K Aayaat Ki Tanzeel.......*
Ye Aankh Mein Aansu Hain K Elhaam Ki Rim Jhim.....*
Ye Haath Ye Koneen Ki Taqdeer K Ouraaq.......*
Ye Khat, Ye Khad o Khaal Rokh-E-Mshaf o Injeel.......*
Ye Paon Ye Mehtab Ki Kirno K Maabd......*
Ye Naqsh-E-Qadam, Bosa Ga-E-Raf Raf o Jabraeel......*
Ye Rafat-E-Dastar Hai Ya Aoj-E-Takheel.......*
Ye Band-E-Quba Hai K Shagfat-E-Gul-E-Naheed.......*
Ye Saya Daman Hai K Phela Hua Baadal.......*
Ye Subh-E-Gareebbn Hai K Khamiyaaza Khorsheed.......*
Ye Doosh-E-Pa chadar Hai K Bakhshish Ki Ghata Hai.......*
Ye Mohar-E-Nabowat Hai K Naqsh-E-Dil-E-Mehtaab......*
Rukhsaar Ki Wazu Hai K Namu Subh-E-Azal Ki......*
Ankhon Ki Malahat Hai, K Roye Shab-E-Kam Khowab........*
Har Naqash-E-Badan Atna Manasab Hai K Jaise.......*
Tazaeen-E-Shab o Rooz K Tamseel-E-Mah o Saal......*
Malbus-E-Kahan Yuon Shakan Aalod Hai Jise......*
Tarteeb Se Pehle Rokh-E-Hasti k Khad o Khaal.......*
Raftaar Main Aflaak Ki Gardish Ka Tasawar.......*
Kirdaar Main Shamil Bani Hasham Ki Anaa Hai......*
Goftaar Mein Quraan Ki Sadaqat Ka Teequn.......*
Mayaar Mein Gardoon Ki Bulandi Kaf-E-Pa Hai.......*
Wo Fekar K Khod Aqal-E-Bashar Sar Bgreebaan......*
Wo Faqar K Thokar Mein Hai Duniya Ki Bulandi......*
Wo Shukar k khaleq Bhi Tere Shukar Ka Mamnon.......*
Wo Husan K Yosuf Bhi Karay Aaina Bandi.......*
Wo Elm K Quraan Teri Atrat Ka Qaseeda......*
Wo Hlm K Doshman Ko Bhi Umeed-E-Karam Hai......*
Wo Sabar K Shabeer Teri Shakh-E-Samar......*
Wo Zabtt K Jais Mein Arfaan-E-Umm Hai.......*
Aurang-e-saleeman teri naleen ka khaka.......*
Ejaz-e-maseeha teri bekhri hoi khoshbo........*
Husn-e-yod-e-beeza teri dheleez ki kheerat.......*
Koneen ki sajh dhajh tere aaraish-e-geeso.......*
Sar chashma kusar tere seene ka paseena.......*
Saya teri deewaar ka mayaar-e-eram hai.......*
Zaray teri galiyon k ma o anjum-e-aflaak.......*
Surajh tere rahwaar ka ek naqsh-e-qadam hai.......*
Duniya K Sallateen, Tere Jarub Kashon Mein.........*
Aalam K Sikandar, Teri Chokhat K Bihkari........*
Gardon Ki Bullandi, Teri Paposh ki Pasti.........*
Jabraeel K Shepar Tere Bachon Ki Sawari........*
Dharti K Zuvi Ul Adal, Tere Hashea Bradar.........*
Fardos Ki Horain, Teri Beti ki Kaneezain........*
Kosar ho, Gulistan-E-Iram Ho K Wo Tubaa........*
Lagti Hain Tere Shehr Ki Bekhri Hoi Cheezain.........*
Zaher Ho To Har
Bargh-E-Gull-E-Tar Teri Khosho.........*
Ghayab Ho To Dunia Ko Sarapa Nahi Milta..........*
Wo Isam, K Jis Ko Lab Choom Lein Har Baar..........*
Wo Jisam K Sooraj Ko Bhi Saya Nahi Milta.........*
Ehsaas K Sholon Mein Pigalta Hova Sooraj.........*
Anfaas Ki Sabnam Mein Thar-Tharti Hoi Khoshbo........*
Ilhaam Ki Barish Mein Ye Bheege Hove Alfaaz........*
Andaz-E-Nagrsh Mein Ye Husn-E-Ram-E-Aahu.........*
Haidar Teri Haibat Hai To Hasnain Tera Husn.........*
Ashaab Wafadaar To Naib Tere Masoom.........*
Salma Teri Azmat Hai, Khateeja Teri Toqeer........*
Zahra Teri Qismat Hai To Zenab Tera Maqsoom........*
Kis Rang Se Tarteeb Tujhe Dijiye Mola........*
Tanveer, K Tasveer K Tasawor K Mosavar........*
Kis Naam Se Amdad Talab Kijiye Tujh Se.........*
Yaseen K Taha K Mozamel K Modasir.........*
Paida Teri Khatar Hove Atraf-E-Do Aalam........*
Konain Ki Wasat K Fasoon Tere Liye Hai........*
Har Behr Ki Mujhon Mein Talatam Teri Khatar.........*
Har Jheel K Seene Mein Sakoon Tere Liye Hai........*
Har Phol Ki Khushbo Tere Daman Se Hai Mansoob.........*
Har Khaar Mein Chahat Ki Khat-tak Tere Liye Hai..........*
Har Dasht o Bayaban Ki Khamoshi Mein Tera Raaz..........*
Har Shakh Mein Zulfon Si Latak Tere Liye Hai..........*
Din Teri Sabahat Hai To Shab Teri Malahat.........*
Gul Tera Tabasum Hai Satare Tere Aanso.........*
Aaghaz-e-Baharaan Teri Anghrrai Ki Tasveer.........*
Dildari Baraan Tere Beege Howe Gesu.........*
Kohesaar K Jharne Tere Mathay Ki Shoaeen...........*
Ye Qoos-E-Quza, Arz-e-Rangeen Ki Shakan Hai.........*
Ye Ka-Hakshaan Dhol Hai Naqsh-E-Kaf-E-Pa Ki.........*
Saqleen Tera Radqa, Anwaar-E-Badan Hai..........*
Har Shehr Ki Ronaq Tere Rastay Ki Jami Dhool........*
Har Ban Ki Uddasi, Teri Aahat Ki Thakan Hai........*
Jangal Ki Faza Teri Matanat Ki Allamat........*
Basti Ki Pha-ban Tere Tabasum Ki Kiran..........*
Meedaan Tere Bozar Ki Hakomat K Mazafaat.........*
Kohesaar Tere Qanbar o Salmaan K Baseeray...........*
Sehra Tere Habshi Ki Mohabbat K Musalay.........*
Gulzaar Tere Meesam o Maqraad K Deeray............*
Kiya Zehan Mein Aaye K Tou Utra Tha Kahaan Se.........?
Kiya Koi Bataye Teri Sarhad Hai Kahaan Tak.........*
Phonchi Hai Jahaan Par Teri Naleen Ki Mati..........*
Khakstar-E-Jebraeel Bhi Phonchay Na wahaan Tak..........*
Socheen To Qowat Teri Marhon-E-Tasvar..........*
Dekheen To Tera Har Andaaz Juda Hai.........*
Ye Kam Nahi Kisi Or K Bas Mein.........*
Tuo Khod Hi Bata K Teri Hasti Kiya Hai........*
Badal Bhi Falaq K Tujh Pe Baraste Hain.
Teri Talwaar Ki Zarbaat Dusman Bhai Daray Hain.........*
Khebar K Qelay Bhi Teri Shajaat K Aage paspa........*
Metaab K Tokrray Teri Choli Mein Geray Hain.........*
Kehenay Ko To Bestar Bhi Mayasar Na Tha Tujh Ko........*
Likin Teri Dheleez Pe Utray Hain Sataray..........*
Anboh-E-Malaik Ne Hamesha Teri Khatar..........*
Palkon Se Tere Shehr K Rastay Bhi Sanwaray.........*
Kehne Ko To Ummi Tha Laqab Dahr Mein Tera........*
Likin Tuo Maarif Ka Gulistan Nazar Aaya........*
Ek Tuo Hi Nahi Saheb-E-Aayat-E-Samawaat.........*
Har Fard Tera Waris-E-Quraan Nazar Aaya.........*
Kehne Ko To Faqoon Pe Bhi Guzren Teri Raatain........*
Islaam Magr Ab Bhi Namak Khowar Hai Tera.........*
Tuo Ne Hi Sekhai Hai Tameez-E-Man o Yazdaan.........*
Insaan Ki Gardan Pe Sada Baar Hai Tera........*
Kehne Ko Tere Sar Pe Hai Dastaar-E-Yateemi.........*
Likin To Zamane K Yateemoon Ka Sahara.........*
Kehne Ko Tera Fqar Tere Fakhar Ka Baess.........*
Likin Tuo Sakhawat K Samandar Ka Kinara..........*
Khene Ko Tuo Hijrat Bhi Gawara Tujhe Likin.........*
Aalam Ka Dharrakta Hua Dil Tera Makaan Hai.........*
Kehen Ko To Maskan Tha Tera Dasht Mein Likin............*
Har Zarah Teri Bakhshish Peeham Ka Fashaan Hai........*
Kehne Ko To Ek Ghar-E-Hera Mein Teri Masnad........*
Likin Ye Falak Bhi Teri Nazroon Mein Kaf-Khak..........*
Kehne Ko To Khamosh Magr Jambish-E-Lab Se.......*
Damaan-E-Arab Gard, Garebaan-E-Ajam Chaak........*
Aye Fekr-E-Mokamal, Rokh-E-Fetrat, Lab-E-Aalam.........*
Aye Badi Kal Yaar Nabi Rehmat-E-Pheeham.........*
Aye Wagef-E-Merajh, Aye Waris-E-Koneen..........*
Aye Dildar-E-Nabi, Husn-E-Mujasam.......*
Nasal-E-Bani Aadam K Haseen Qafla Salaar.........*
Shujaat Ka Pekar,
Sardaar-E-Arab..........*
Peghamber-E-Fardos-E-Bareen, Saqi Kusaar.........*
Aye Manzil-E-Edraak, Dil o Deeda Panahi.
Aye Baes Aaeen-E-Shob o Rooz-E-Khalaiq.........*
Aye Halqa-E-Arwah-E-Muqadas K Peyambr.........*
Aye Taajor-E-Bazme-E-Shariyt.........*
Aye Aarif-E-Merajh-Bashar, Sahab-Yaar.........*
Syad o Sarkheel o Sarfaraz o Sokhan Saaz..........*
Sadaq o sajaad o sakhi sahab asraar..........*
Fekar-e-jahaan zeeb o jahaan geer o jahaan taab..........*
Feqar-e-jahaan sooz o jahaan saaz o jahaan daar...........*
Saber o sanaa o sameem o saf-e-uosaf.........*
Sarwar-e-koneen o sami-e-yam-e-asvaat..........*
Meezaan-e-anna, makta-e-pandar-e-teequn..........*
Azzaaz khodi, masdar-e-sad rashd o hadayaat.........*
Shahkir o Mashkoor-O- Shakeel-E-Shab-E-Aalam...........*
Nasir-O-Mansoor-O-Naseer-E-Dil-Insaan...........*
Shahid-O-Mashood-O-Shaheed-E-Rokh-E-Toheed..........*
Nazar-O-Manzoor-O-Nazeer-E-Lab-E-Yazdaan.............*
Yusof-O-Yaqoob-O-Haroon Salaar-E-Islam...........*
Baab-E-Manajaat-E-Dil-Younas-O-Idrees............*
Wo Shojaat-O-Dalleri Jorat-E-Medaan Ghazab Ki Lalkaar..........*
Qibla Hajaat Salemaan-O-Belqees............*
Aye Wali Yasrab Meri Faryad bhi Sun Le.........*
Aye Waris Koneen Mein Lab Khol Raha Hoon..........*
Zakhmi Hai Zubaan
Khama Dil Khon Mein Tar Hai.........*
Shair Hoon Magr Dekh Mein Such Bol Raha hoon..........*
Tuo Ne To Mujhe Apne Maaraf Se Nawaza............*
Liken Mein Abhi Khod Se Shana-Sa Bhi Nahi Hoon............*
Tuo Ne To Di The Mujhe Dolaat-E-Arfaan.............*
Liken Mein Jahalat K Andheeroon Mein Ghera Hoon..........*
Shafqat Ka Samandar Tha, Tera Lutf o Karam Bhi..........*
Lekin Main Tera Lutf o Karam Bhol Choka Hoon..........*
Bekhri Hai Kuch Aesay Shab-E-Teerah Ki Syahi.........*
Mein Sulgi Shama-E-Haram Bhol Choka Hoon.........*
Tuo Ne To Mujhe Kofar Ki Pasti Se Nikala..........*
Mein Pher Bhi Raha Qamat-E-Alhaad Ka Paband..........*
Tuo Ne Nere Zakhm Ko Shabnam Ki Zubaan di...........*
Mein Pher Bhi Tarrpta Hi Tarrpta Hi Raha Surat-E-Aspand..........*
Teri Zubaan Nokta Sheereen Ki Tara.........*
Mein Pher Bhi Raha Matqad-E-Talkh Kallami...........*
Tuo Ne To Mera Dagh-E-Jabeen Dho Bhi Diya Tha..........*
Mein Pher Bhi Raha Saeed o Sana khovaan-E- Gholmi..........*
Tuo Ne To Maslat Kiya Aflak Pe Mujh Ko..........*
Mein Pher Bhi Raha Khak K Zaroon Ka Pujari..........*
Tuo Ne To Sataray Bhi Nechawar Kiye Mujh Par.........*
Mein Pher Bhi Raha Teergi, Shab Ka Shekari............*
Tuo Ne To Mujhe Dars-E-Masawaat Diya Tha..........*
Mein Pher Bhi Man o Tuo K Marahel Mein Raha Hoon........*
Tuo Ne To Jodda Kar K Dekhaya Haq o Batail..........*
Mein Pher Bhi Tameez Haq o Batail Mein Raha Hoon...........*
Ye Zameen Aasmaan Sab K liye hai.........*
Hum Ne Hi Kai Khatoon
Mein Asay Bant Diya Hai.........*
Tuo Ne Jaise Thokar K Bhi Qabil Nahi Samja.........*
Mein Us Kankar Ko Gohar Man Liya Hai........*
Too Ne To Kaha Tha K Zamane Ka Khuda............*
Insan K Khayalon Mein Kabhi Aa Nahi Sakta..........*
Lekin Main Jahalat K Sabbab Sirf Ye Samjaha............*
Wo Kaia Khud..? Jis Ko Bashar Pa Nahi Sakta..........*
Too Ne To Kaha Tha K Wo Uncha Hai Khard Se..........*
Main Ne Yehi Chaha Utar Aaye Wo Khard Mein...........*
Too Ne To kaha Tha K Ahad Hai Wo Azal Se..........*
Main Ne Usay Dhoonda Hai Sada Has-O-Adad Mein...........*
Ab Ye Hai K Dunia Hai Meri Teera o Tareek..........*
Saya Gham-E-Doraan Ka Muheet-E-Dil o Jaan Hai.........*
Har Lamha Udasi K Tasraf Mein Hai Ehsas...........*
Ta-Had-E-Nazar Khof-E-Musalsal Ka Dhovaan Hai.........*
Sehraye Gham o Yaas Mein Pheeli Hai Karri Dhop.........*
Kuch Lamis-E-Kaf-E-Mujh-E-Saba Tak Nahi Milta..........*
Be Anth Saraboon Mein Kahaan Jada Manzil..........*
Apna Hi Nishaan-E-Kaf-E-Pa Tak Naii Melta..........*
Aassab Shakasta Hain To Chani Hain Negahain..........*
Ehsaas-E-Baharaan Na Gham-E-Fasal-E-Khizaan Hai........*
Aandhi Ki Hateli Pe Jugno Ki Tarah dil.........*
Sholoon K Tasaraf Mein Rag-E-Ghncha Jaan Hai.........*
Har Samt Hai Ranj o Gham o Aalaam Ki Barish..........*
Seenay Mein Har Ek Saans Bhi Neezay Ki Ani Hai..........*
Ab Aankh Ka Aaina Sambhaloon Mein Kahan Tak.........*
Jo Ashk Bhi Behta Hai Wo Heeray Ki Kani Hai.........*
Ahbaab bhi Aadad Ki Thara Tere Bakaf Hain.........*
Ab Mout Bhatakti Hai Saf-E-Chara Garaan mein..........*
Sonsaan Hai Maqtal Ki Taran Shehr-E-Tasawar.........*
Sehmi Hoi Rehti Hai Faghaan, Kheema Jaan Mein...........!
No comments:
Post a Comment