Tuesday, 16 September 2014

Hawa Kyun Bhool Jati Hai


Hawa Kyun Bhool Jati Hai

Hawa Kyun Bhool Jati Hai?
K Apnay Rat-Jagay,Taira Asaasa,Hamaari Jaagti Raaton Ki Saari Kirchiyaan..
Ankhon Main Chubhti Hain,To Kaya Kuch Yaad aata Hai....?


Safar, Awaargi, Hijr-O-Wisaal-E-Dil-figaaraa'n,Mehfil-e-Laala-Rukhaa'n,
Aks-e-Hajoom Gul-Azaaraa'n,Nighat-E-Fasl-E-Bahaaraa'n,
Maatam-E-Yaaraa'n,Hawa___ Andhii Hawa___!!

Jab Bhi Thakay Haaray Parindon'n Ki Tarah,
Khud Toot Kr Bikhray Huye Pattay

Zameen Ki Khak Say Chunti Hai,
Bhatkay Rah-Rawo'n K Naqsh-E-Paa,
Rasto'n Ki Pathreeli Hathaili Say Uthaati Hai,
Kisi Ujrray Khandar Ki Khamoshi Jab Sansanaati Hai,
Hawa, Kyun Bhool Jati Hai??

 K Hum Apnay Kawaardo'n Ko Teri Dastak Say Pehlay,
Apnay Boseeda Gareebaano'n Ki Soorat Khol Detey Hain,
Teri Kahtir Hum Ankhon Main,Sitaaray Ghol Daitay Hain...

Kay Hum Tairay Siwa Apnay Bhi "Kuch" Lagtay To Hain Aakhir,
Hawa, Tujhsay Jo Mumkin Ho..!!To Sadiyon Ki Thakan Ashko''n Say Dhonay Day,Hamain Khul K Ronay Day!
Dil_E-Be-Mehar Ko Chubhtay Huye Khuwaabo'n K Pas-E-Manzar Main Khonay Day!!
Hawa!! Pal Bhar Ko Sonay Day..!!

No comments:

Post a Comment