Thursday, 18 September 2014

Mujhe Maloom Hai Sab Kuch


Mujhe Maloom Hai Sab Kuch

Mujhe Maloom Hai Sab Kuch,,
K Woh Harf-E-Wafa Say Ajnabi Hai,,
Woh Apni Zaat Say Hat Kr,,
Bohat Kam Sochti Hai,,
Woh Jab Bhi Aaiyna Dekhey,
To Bus Apney Hi Khad-O-Khaal K Taiwar Dekhti Hai....!!
 Usay Apney Badan K Zaaviye,
Qausein, Musalas,Mustateelein
Bazu'on Ki Dastaras Mein Raqs Krti Khwahisho'on Ki Sab Uranein
Qeemti Lagti Hein Seem-O-Zar K Posheeda Khazano'on Say
Zameeno'on, Aasmaano'on Mein Rawa'an Roshan Zamano'on Say
Woh Lamha Lamha Apney Hi Tarasheeda Kurron Mein  Ghoomti Hai,
Woh Baarish Mein Nahaayi Dhoop K Aangan Mein,
Nichurti, Naachti Boondo'on Ko Pe Kr Jhoomti Hai....!!
Usay Apney Siwa, Duniya Ki Her Soorat,
Her Ik Tasveer,Betarteeb Lagti Hai,
Mujhey Maloom Hai Sab Kuch,
K Woh Rango'on Bharey Manzar, Dhanak K Zaeqey,
Ujli Fiza Ki Khushbu'en,
Jhilmil Shua'yen,
Apne Honto K Halqo'on Mein Muqaiyyad Kr K Apni Muskurahat K,
Dareechey Kholti Hai,
K Woh Iqrar K Lamhon Mein Kam Kam Bolti Hai,
Mujhe Maloom Hai Sab Kuch,
Magar Maloom Hi Sab Kuch Nahi Hai
,K Is Maloom Ki Sarhad K Us Janib,
Fishaar-E-Aagahi Ka Aasman Hai,
Khud Faramoshi,Khamoshi Ki Zameen Hai,
Jahan Zahir Ki Aankhon Say Abhi Madoom Hai,
Mujhe Sab Maloom Hai,Magar Maloom Hi Sab Kuch Nahi Hai...!!

No comments:

Post a Comment