Woh Ankhon Ankhon Mein Bolti Hai
Woh Ankhon Ankhon Mein Bolti Hai
To Apnay Lehjay Main
Kachi Kaliyon Ki Nikhatein
Adh_Khilay Gulab'on Ka Ras,
Khunak Rut Main Shehad Ki Moj Gholti Hai...!!!
Woh Zer-E-Lab Muskara Rahi Ho
To Aisay Lagta HaiJaisay Sham-O-Sehar Galay Mil K An_Suni Lay Main Gungunayein,,!!
Saba Ki Zulfein Khilein
Sitaro'on K Taar Sanson Main Jhunjhunein...!!
Woh Abrou'on Ki Kamaan K Saaye Main Chahaton Say Atti Dhoop Rahato'on Main Khilli Hui Chandni K Mosam Nikhaarti Hai...!!
Woh Dil Main Khwahish Ki Lehar Leti Ziddein
Khayalon Ki Kirchiyan Tak Utaarti Hai
Hawa Ki Aawargi K Humrah
Apni Zulfein Sanwaarti Hai....!!
Kabhi Woh Apnay Badan Pay Ujli Ruto'on Ka Resham Pehan K Niklay
To Kitnay Rango'on K Daaiyray
Silvato'on Ki Soorat Main Toot'tay Hain...!!
Woh Lab Hilaaye To Phool Jhartay Hain
Us Ki Batein Kunj-E-Dayar-E-Yaaqoot Say Shuaao'on K An_Ginat Taar Phhoot'tay Hain.....!
Woh Sar Say Paaoon Talak Dhanak, Dhoop, Chandni Hai
Dhulay Dhulay Mssamo'on Ki Be_Sakhta Ghazal Bakht Shaiyre Hai!!(Meray Hunar K Sabhi Asaaso'on Say Qeemti Hai)
Woh Mujh Main Ghul Mil Gayi Hai Lekin
Abhi Talak Mujh Say Ajnabi Hai
Kisi Adhoori Ghari Main Jab Jab
Woh Be_Iradah Mohabbaton K Chupay Chupay Bheid Kholti Hai
To Dil Yeh Kehta Hai Jis Ki Khatir Woh Apni "Sansein"Wafa Ki Sooli Pay Tolti Hai
Woh Aasma'an Zaad
Kehkashan Bakht----(Kuch Bhi Keh Lo----!)
Jo Uski Chahat Ka "Aasra" Hai
Woh "Main" Nahin Hoon...!!
Koi To Hai Jo Meray Siwa Hai
Woh Shehar Bhar K Tamam "Chehro'on" Say Hatt K
Ik "Aur Meharbaan" Hai
Jo Uski Khwahish Ka "Aasmaan" Hai
(Kisay Khabar Kaun Hai, Kahan Hai?)
Magar Mujhay Kaya?
K Main Zameen Hoon..!!
Woh Jis Ki Chahat Main Apni Sansein Lutta Rahi Hai
Woh "Main" Nahin Hoon........Woh Aankhon Aankhon Main Bolti Hai.....!!
No comments:
Post a Comment