Monday 17 November 2014

Mujhay Wida Kar


Ae Meri Zaat Phir Wida Kar

Mujhay Wida Kar,Ae Meri Zaat Phir Wida Kar
Woh Log Kaya Kahain Gay
 Ay Meri Zaat
Log Jo Hazar Saal Say Meray Qalaam Ko Taras Gaye
Mujhay Wida Kar
Main Teray Sath Apnay Aap K Siyah Ghar Main
Bohat Panaah Ley Chuka
Main Apnay Hath Paon
Dil Ki Aag Main Tapa Chuka
Mujhay Wida Kar...!!

Mujhay Wida Kr
K Aab-O-Gil K Aansou'on Ki Bay-Sadaayi Sun Sakou'n
Mujhay Wida Kar...!!

Hayaat_O_Marg Ka Salaam_E_Rusatayi Sun Saku'n
Main Roz_O_Shab K Dast_O_Pa Ki Na_Rasaayi Sun Saku'n
Mujhay Wida Kar....!!

Mujhay Wida Kar K Bohat Hi Dair..
Dair Jesi...Dair Ho Chuki
K Ab Ghari Main Beesve'in Sadi Ki Raat Baj Chuki
Mujhay Wida Kar...!!

Shajar Hajar
Woh Janwar
Wo Taayiraan-E-Khastapar
Hazaar Saal Say Jo Haal Mein
Zameen Par
Makalmey Mein Jama Hain
Wo Kaya Kahein Gey
Main Khudaao'n Ki Tarah
Azal K BeWafaaon Ki Tarah
Phir Apney Ehad-E-Mansabi Say Phir Gaya Hun
Mujhay Wida Kar....!!

Mujhey Wida Kar
Ae Meri Zaat
Tou Apney Rozano'n K Paas Aa K Dekh Lay
K Zehan-E-Na Tamaam Ki Masaahato'n Mein Phir
Har Us Ki Khizaa'n K Barg-E-Khushk Youn Bikhar Gaye
K Jaisey Shehar_E_Hast Mein
Ye Neisti Ki Gard Ki Pukaar Hoon.....!!

Lahu K Daldalo'on Mein Haadiso'n K Zamhareer Utar Gaye
Tu Apney Rauzano'on K Paas Aa K Dekh Ley
K Mashraqi Ufaq Pay Aareefo'on K Khwaab-W-Qahwa Rang Mein
Umeed Ka Guzar Nahi
K Maghrabi Ufaq Pr
Marg_E_Noor Par Kisi Ki Aankh Tar Nahi...Mujhe Wida Kar.....!!

Magar Na Apney Zeeno'n Sey Utar
K Zeeney Jal Rahey Hain Be-Khushi Ki Aag Mein.. Mujhey Wida Kar...!!

Magar Na Saans Ley
K Shayaraan-E-Nau Teri Sada K Seham Sey Dubak Na Jaayein
K Tou Sada Rasaalato'n Ka Baar Un Pey Daalti Rahi
Ye Baar In Ka Haul Hai
Woh Dekh Roshni Ki Doosari Taraf
Khyaal
Kaagazo'n Ki Baaliyaa'n Baney Hue
Haroof Bhaagtey Hue
Tamaam Apney Aap Hi Ko Chaat'tey Hue
Jahaan Zamana Tez Tez Gaamzan
Wahin Zamana_Baaz Apney Kheil Mein Magan
Jahaan Pey Baam-O-Dar Lapak Rahey Hain Barisho'n Ki Simat
Aarzoo Ki Tishnagi Liye
Wahin Gumaa'n K Faasley Hain Raahzan,Mujhe Widar Kar........!!


K Shehar Ki Faseel K Tamaam Dar Hain Waa Abhi
Kahin Wo Log So na Jaayein Boriyo'n Mein Rait Ki Tarha
Mujhe Ae Meri Zaat
Apne Aap Say Nikal K Jaaney Dey
K Is Zabaan Bureeda Ki Pukaar,Is Ki Haa_Hoou,Gali Gali Sunaayi Dey .....!!

K Shehar-E-Nau K Log Jaantey Hain ( Kaasa-E-Gursangi Liye)
K Unk Aab_O_Naan Ki Jhalak Hun Main
K Un K Tashtah Baaghicho'on Mein
Apney Waqt K Dhulaaye Haath Say
Naye Darakht Ugaaoo'n Ga
Main Un K Seem-O-Zar Say
Un K Jism -O-Jaan Say
Koltaaar Ki Tahein Hataao'on Ga
Tamaam Sang Paaraah Haa_E_Baraf
Un K Astaa'n Sey Main Uthaaoo'n Ga
K Un K Shehar-E-Nau K Raastey Tamaam Band Hain....!!

Mujhey Wida Kar K Apney Aap Mein
Main Itney Khwaab Je Chuka,K Hosla Nahi
Mujhay Wida Kar,K Main Itni Baar Apnay Zakham Aap Si Chuka,K Hosla Nahi...
K Hosla Nahi...!!

Tuesday 11 November 2014

Mustafa Zaidi Poetry



?? ??? ??? ?? ??? ???? ?? ?? ???? ???
?? ??? ?? ??? ??? ???? ?? ???? ???
????? ??? ?? ?? ??? ???? ?? ??? ???
???? ?? ??? ??? ??? ?? ???? ???
??? ?? ?????? ?? ??? ???? ???
?? ???? ?????? ?? ??? ?? ???? ???
?? ????? ????? ? ??????? ??????
???? ?? ??? ???? ??? ?? ???? ???
?? ?? ????? ????? ? ????? ????
?????? ???? ? ???? ?? ???? ???
?????? ????? ??????? ?? ??????
???? ?????? ???? ??? ?? ???? ???
????? ??? ?? ??? ?? ??? ?? ???? ???
?? ??? ??? ???? ??? ?? ???? ???

Thursday 30 October 2014

Mustaqil Dukh Nay Urayi Hai Bohat Yad Ki Rakh


















Mustaqil Dukh Nay Urayi Hai Bohat Yad Ki Rakh

Mustaqil Dukh Nay Uraayi Hai Bohat Yad Ki Rakh
Hum Bhula Saktay Hain Woh Bhi Jo Nahi Hai Mumkin
Yeh Alag Bat K Ehsas Ki Sharyano'n Main
Her Faraamoshi Utar Kar Humain Das Jaati Hai
Janay Haalaat Say Aur Waqt Say Kaya Rishta Hai
Janay Kis Bholay Hue Zakhm Ki Ruswayi Hai
Janay Kis Bichray Hue Rog Ka Pachtawa Hai
Janay Ankhon Ko Kyun Yeh Rang_E_Sukhan Bhaya Hai
Sham Ka Dard Papoto'n Main Simat Aaya Hai.....!!

Sunday 26 October 2014

Phool Khil Jayein To Us Shakhs Say Kam Kam Milna

















Phool Khil Jayein To Us Shakhs Say Kam Kam Milna
Aisay Mosam Main Mohabbat Pay Zawal Aatay Hain.......!!!

Monday 20 October 2014

Mein Ishq E Kainat Mein Zanjeer Ho Saku


















Mein Ishq_E_Kaainat Mein Zanjeer Ho Saku
Mujh Ko Hisaar_E_Zaat K Shar Say Rahayi Day.....!!

Her Mor Pay Mil Jatay Hain Humdard Hazaron












Her Mor Pay Mil Jatay Hain Humdard Hazaron
Shayad Meri Basti Main Adakar Bohat Hain....!!

Hum Say Mat Rastay Ghar K


















Hum Say Mat Rastay Ghar K

Ham say mat puch rastey ghar ke
Ham musafir hen zindagi bhar ke

Kon suraj ki aankh se din bhar
Zakham ginta he shab ki chadar ke

Sulha kar li ye soch ke main ne
Meray dushman na thay barabar ke

Khud se khemey jala dye main ne
Hosley dekhna thay lashkar ke

Ye sitarey ye toot tey moti
Aks hen meray deeda e tar ke

Gar junoon maslihat na apnaey
Sar se rishtey boht hen patthar ke

Ham bhe chuntey thay seepian aksar
Ham bhe maqrooz hen samandar ke

Aankh ke gird matami halqey
Saaye jese jale huey ghar k_____!!

Wo Jo Khud Pairvi E Ehd E Wafa Karta Tha


















Wo Jo Khud Pairvi-E-Ehd-E-Wafa Karta Tha

Wo Jo Khud Pairvi-E-Ehd-E-Wafa Karta Tha
Mujhse Milta Tha Tou Talqeen-E-Wafa Karta Tha

Uske Daman Main Koi Phool Nahi Meray Liye
Jo Meri Tangi-e-Damaa.n Ka Gila Karta Tha

Aaj Jo Usko Bulaya Tou Wo Gumsum Hee Raha
Dil Dhadaknay Ki Jo Awaz Suna Karta Tha

Aaj Wo Meri Har Ek Baat Ke Maayni Poochay
Jo Meri Soch Ki Tafseer Likha Karta Tha

Uski Dehleez Par Sadiyon Se Khada Hoon �Mohsin�
Mujhsay Milnay Ko Jo Lamhaat Gina Karta Tha___!!!

Saturday 11 October 2014

Ay Meri Rooh Tujhay












Shayar:
Ay Meri Rooh Tujhay
Ab Yeh Burzakh K Shab_O_Roz Kahan Raas Ayaein?
Ishq Baphra Hua Dariya Hai'Hawas Khaak Siyah
Dast_O_Baazo Na Safeena K Yeh Driya Ho Aboor
Aur Is Khaak Siyaah Par To Nishan_E_Kaf_E_Paa Tak Bhi Nahi
Ujray Hue Be_Barg Darakhton Say Faqat Kaasa_E_Sar_Aaweiza'n
Safaak Tabaahi Ki Alam_Naaki Ki Kahani Ban Kar..
Ay Meri Rooh Judaayi Say Hazee'n Meri Rooh
Tujhay Burzakh K Shab_O_Roz Kahan Raas Aayein?

Rooh:
Mera Mada Na Jahanam Mera Malja Na Behashat
Burzakh In Dono Par Ik Khanda_E_Tazheek To Hai
Aik Burzakh Hai Jahan Jor_O_Sitam'Jod_O_Karam Kuch Bhi Nahi
Is Main Woh Nafas K Sar Sar Bhi Nahi
Jisam K toofan Bhi Nahi
Mubtila Jin Mein Hum Insan Sada Rehtay Hain
Hum Siyah Bakht Zameen Par Hon'Falak Par Hon
Aik Burzakh Hai Jahan Makhmal_O_Deeba Ki Si AssodgiHai
Khawab Ki Si Asoodgi Hai....!!

Ajal In Say Mil


















Ajal In Say Mil

Ajal In Say Mil
K Yeh Sada DiL
Na Ehl_E_Salawt Aur Na Ehl_E_Shrab
Na Ehl_E_Adab Aur Na Ehl_E_Hisab
Na Ehl_E_Kitaab...
Na Ehl_E_Kitab Aur Na Ehl_E_Masheen
Na Ehl_E_Khala Aur Na Ehl_E_Zameen
Faqat Bey Yaqeen
Ajal In Say Mat Kar Hijaab
Ajal In Say Mil.......!!

Barho Tum Bhi Aagay Barho
Ajal Say Milo
Barho No_Tawangar Gadaaow
Na Kashkol Daryoza_Gardi Chupao
Tumhain Zindagi Say Koi Rabt Baaqi Nahi
Ajal Say Hanso Aur Ajal Ko Hansaao
Barho Bandgaan_E_Zamana Barho Bandgaan_E_Daram
Ajal Yeh Sub Insan Manfi Hain
Manfi Ziyada Hain Insan Kam
Ho In Par Nigaah_E_Karam...!!

Ajal In Say Mil.........!!

Monday 6 October 2014

Abhi Kahan Hai Wo Saat

Abhi Kahan Hai Wo Saa�at 

Abhi Kahan Hai Wo Saa�at
K Hum Dareeda_Badan
Siyah Libaas K Purzay
Sapurd-E-Khaak Karein...!!

Jigar K Daagh Ujaalein Lahu K Cheento'n Say
Qaba-E-Zabt Judai Ko
Khud Say Chaak Karein...!!

Abhi Kahan Hai Wo Lamha
K Jis Ko Ehl-E-Nazar
Tuloo-E-Mosam-E-Gulrang Ki Naveed Kahein...!!

Abhi Kahan Hai Wo Saa�at
K Jis Ko �Eid� Kahein....!!

Bohat Dinon Baad


Bohat Dinon Baad Tere Khat K Udass Lafzon Nay

Bohat Dino'n Baad Tere Khat K Udass Lafzo'n Nay
Teri Chahat K Zaayiqo'n Ki Tamam Khushboo
Mere Ragon Main Undail Dee Ha.....!!

Bohat Dino Baad,Teri Batain Teri,
Mulaqat Ki Dhank Sy Dehahkti Ratein,
Ujar Ankho'n Ki Pyas,
Pataal Ki Taho'n Main
Wisal Wadon Ki Chand Chingaariyon Ko Sanso'n Ki Aanch Day Kr
Shareer Sholo'n Ki Sarkashi K Tmam Teiwar Sikha Gayi Hain,
Tere Mehktay Maheen Lfzon Ki Absharain,
Bohat Dino Baad Phir Se Mujhko Rula Gayain Hain..!!

Bohat Dino Baad Main Ney Socha To Yaad Aya...
K Teri Yaadon Ki Kirchiyaan Mujh Sey Kho Gayi Hain,
Teray Badan Ki Tamam Khushboo Bikhar Gayi Hai...
Teray Zamanay Ki Chahatain,
Sab Nishaniyaan,
Sab Sharatein,
Sab Haqaayatein,
Sab Shikayatein...
Jo Kabhi Hunar Main Khayal Theen...
Khawab Ho Gaye Hain...
Bohat Dino'n Baad......!!

Bahut Dino Baad Main Ne Socha To Yaad Aaya...
Keh
Main Bhi Kitna Badal Gaya Hoon
Bichar K Tujh Sey Kayii Lakeeron Main Dhal Gaya Hoon
Main Apnay Cigret K Bay-Irada Dhowein Ki Surat
Hawa Main Tehleel Ho Gaya Hoon
Na Dhoond Meri Wafa k Naqsh_E_Qadam  Raizay
Keh Main To Teri Talash K Bay-Kinaar Sehara Main
Weham K Bay-Amaa'n Bagloon K Waar Seh Kr
Udaas Reh Kr...
Na Janay....
Na Janay...
Kis Raah Main Kho Gaya Hoon.......!!
Bichar K Tujh Sey
Teri Tarah�. Kia Batao'on Main Bhi
Na Janay Kis Kis Ka Ho Gaya Hoo'n!!!

Saturday 4 October 2014

Moje_E_Idrak


Moj_E_Idraak  

Ye Dasht Ye Daria Ye Mehkte Howe Gulzar..*

Is Aalam Amkan Mein Abhi Kuch Bhi Nahi Tha..*

Ek Jalwa Tha So Gham Tha Hijabat-e-Aadam Mein..*

Ek Aks Tha So Muntazir-e-Chashm Yaqeen Tha..*

Ye Mosam Khushbo Ye Gehar Tabi-E-Shabnam..*

Ye Ronaq Hangama Konain Kahan Thi..*

Gulnar Ghataon Se Ye Chanti Hoi Chaon..*

Ye Dhoop Dhank Dolat-e-Dareen Kahan Thi..*

Ye Nighat-E-Ehsas Ki Mqrooz Hawain...*

Dil Dari Elham Se Mehke Howe Lamhat...*

Dosheeza anfaas ki Tasbeeh K Taiwar...*

Kis Kanj-E-Tasawor Mein Thay Masroof-E-Manjat...*

Sheraza aaeen qadam k sabhi earaab......!

Be Rabti Aa Jaye Sawalat Mein Gum Thay...*

Ye Rang Ye Neerang Ye Aurang Ye Sab Rang...*

Ek Parad Afkaar-O-Khayalat Mein Gum Thay...*
Ye Phool Ye Kalian Ye Chatakte Howe Ghunche..*

BeAab-O-Hawa Tashna Ayat-O-Manajat...*

Ye Barg Ye Barkha Ye Lachakti Hoi Shakhain..*

Bigana Adaab-E-Sahar Benaam Jazbat...*

Kohesaar K Jharno Se Phelti Hoi Kirnain..*

Ek Khawab Mosalsal K Taheer Mein Nahen then.......!

Chup Chap Fizaon Mein Machalti Hoi Lehrain..*

Mahol K Be Nataq Tasawur Pe Garan then...*

Gham Khana Zulmat Na Koi Bazam-E-Charagan..*

Khorsheed Na Mehtaab, Na Anjum Na Kawakab..*

Shorsh Gy Kun Thi Na Ye Aawaz-E-Dama Dam..*

Tafreeq-E-Man o Tuo Na Masawat o Maratab..*

Hangama Shadi Na Koi Majlis-E-Matam..*

Yalghar-E-Harefan Na Jaloos-E-Gham-E-Yaran..*

Aankhon Mein Koi Zakham Na Seene Mein Koi Chak..*

Anbooh-E-Raqeeban Na Rokh-E-Lala Azraan..*

Aflas Ka Ahsaas Na Pandar-E-Zar-o-Seem..*

Bakhshish K Taqaze Na Ye Dar Youza Gari Thi..*

Pathar Ka Zamana Tha Na Sheeshe K Makaan thay..*

Ye Aqal Ka Dastoor Na Sho Reeda Siri Thi..*

Maqtool Ki Faryad Na Aawaza Qatil..*

Maqtal Thay Na Sheh Rag Mein Laho Tha Na Hos Thi..*

Darbar Na Lashkar Na Koi Adal Ki Zanjeer..*

Dil Tha Na Kahein Tairgi Kunj-E-Kafas Thi....*

Rehbar Thay Na Manzil Thi Na Raste Na Musafir....*

Qandeel Thay Na Jugno Na Satare Na Goher Thay....*

Ye Abeez-O-Asood Na Aab-o-Jad Na Zar-O-Seem....*

Insaan Thay Na Haiwan,

Na Hojar Thay Na Shajar Thay....*

Har Simt Mslat Thay Thaeer K Tallasmaat....*

Jaise Kisi Madfan Mein Ho Sadion Ka Koi Raz....*

Jis Tharah Kisi Ujre Howe Shehr K Saye....*

Ya Mout Ki Hichki Mein Pighalti Hoi Aawaz.....*

Jaise Kisi Ghar Mein Saf-E-Matam Ki Khamoshi....*

Ya Dasht-O- Bayban Mein Nazool-E-Shab-E-Aafat....*

Jaise Kisi Kohsaar PeTanha Koi Khaima....*

Ya Sham-E-Ghareeban K Tasarf Mein Samwat....*

Holay Se Sarkne Lage Hasti K Hijabat....*

Dheere Se Dhalakne Laga Takhleeq Ka Aanchal....*

Ek Khawab-E-Mosalsal K Taheer Mein Nehaan Thein....*

Mahol K Be Natq Taswaar Pe Garan Thein....*

Chan Chan K Bekharne Laga, Sheeraza Kon Kon....*

Rim Jhim Se Barasne Lage Ehsas k Badal....*

Palkain Si Jhapkne Lagi Dosheeza-E-Koneen....*

Halchal Si Hoi Pekar-E-Aallam Ki Ragon Mein....*

Aafaq K Seene Mein Dhrrkne Lagien Kirnain....*

Sheeraza Kun Dhal Bhi Gaya Tha Fayakoon Mein....*

Har Samt Bekhrne Lagien Wajdaan Ki Ki Kirnain....*

Kirnon Se Kholay Rang To Rango Se Gulistan....*

Beedar Hoi Khowab Se Khoshboye Rag O Gul....*

Khoshbo Se Mehakne Laga Daman-E-Bayabaan....*

Daman-E-Bayaban Mein Nihaan Seena Barfab....*

Barfab K Seene Mein Tallatam Bhi Shar Bhi....*

Eajaz Lab-E-Kun Se Hue Kalq Beek Waqt.....*

Shehra Bhi, Samandar Bhi, Kohestaan Bhi,
Shajar Bhi....*

Phr Had-E-Takhleeq Ki Shidad Se Peghal Kar.....*

Jagay Kai Tofaan, Teh-E-Seena Barfaab....*

Har Mojh Thi Parwarda Aakhosh-E-Tallatam....*

Har Qatra Ka Dil, Sorat-E-Be Khawabi Seemaab....*

Shano Pe Utaye Howe Baar-E-Kaf-E-Seelab.....*

Be samt Bhatakne Lagain Monh Zor Hawain.....*

Monh Zor Hawaon K Thaparron Ki Dhmak Se.....*

Dil Ban K Dharrakne Lagain Berang Fizain.....*

Berang Fizaon K Taheer K Kasak Mein.....*

Jaise Kisi Ghar Mein saf-E-Matam Ki Khamoshi.....*

Halchal Si Hoi Paikar-E-Aalam Ki Rangon Mein.....*

Panhaan Thay Shab-o-Roz Se Aalooda Zamane.....*

Be Ant Zamano K ufaq Thay Na Hadain Thein.....*

Aakhr Dia Tarteeb Inhain Dast-E-Qaza Ne.....*

Phir Chashm-E-Taheer Ne Ye Socha K Fiza Mein.....*

Shadabi Gulzar-E-Tarab, Kis K Liye Hai.....?

Ye Kon Howa Bais-E- Takhleeq-E-Do Aalam.....*

Ye Arz-O-Sama Kion Hain Ye Sab Kis K Liye Hai......*

Tazaeen-E-Ma o Anjum-E-Aflak Ka Bais......*

Hai Kon..? Jo Kholot K Hajabon Main chopal Hai.....?

Takhleeq-E-Rag o Reesha Koneen Ka Maqsad......*

Hai Kiya...? Jo Sar-E-Luh-E-Shab Rooz Lekha Hai.....*

Hai Kis K liye Ashwa Belqees-E-Tasawar.......*

Ye Ghamzah Rukhsar-E-Jahaan Kis K liye Hai......?

Aaraish Khaal o Khad-E-Hasti Ka Sabab Kon.......?

Ye Anjum-E-Kon o Makaan Kis K Liye Hai......?

Pher Risham-E-Anwaar Ka Malbos Pehan Kar.......*

Zaher Hua Ek Peekar-E-Sad Rang Ba-sad Naaz......*

Nekhray Kai Bekhray Hue Rangon K Manazar........*

Fitrat Ki Tajali Hoi Aamada Ejaaz........*

Wo Pekar-E-Taqdus Wo Sarmaya Takhleeq......*

Wo Qabla Jan Maqsad-E-Takhleeq-E-Do Aalam.......*

Wajdaan Ka Mayar Ma o Meher Ka Mehwar.....,*

Wo Qafla Salar-E-Mizaj Bani Aadam......*

Wo Manzil-E-Aarbab-E-Nazar Fikar Ki Tajseem.....*

Wo Kaba Taqdeer Do Aalam Rukh-E-Ehsaas......*

Wo Bazm-E-Shab o Roz Ka Sultan-E-Muzam......*

Wo Ronaq-E-Rukhsara-E-Feeroza o Almaas......*

Wo Shulgi Shama-E-Haram Tabish-E-Khorsheed......*

Wo Aaina Husn-E-Rukh-E-Arz o Samawat......*

Wo Jis Se Rawaan Muj-E-Tabasum Ki Sabeelain......*

Wo Jis K Takalm Ki Dhanak Chashma Aayat....*

Wo jis ka sana khawan Dil-E-Fitrat Ka Takalum.......*

Hasti K Manzar, Kham-E-Abro K Ishare......*

Afaq Hain Daman Ki Sabahat Pe Tasdeeq......*

Qadmo K Neshan Dhondte Pherte Hain Satare.......*

Us Rhmat-E-Aalam Ka Qaseeda Kahon Kaise......*

Jo Mehr-E-Inayat Bhi Ho, Abar-E-Karam Bhi......*

Kia Us K Liye Nazar Karon Jis Ki Sana Main......*

Sajde Mein Hon Alfaz Bhi, Satarain Bhi Qalam Bhi......*

Chehra Hai K Anwaar-E-Do Aalam Ka Saheefa......*

Aankhain Hain K Behreen Taqados K Nageen Hain......*

Matha Hai K Wahdat Ki Tajali Ka Warq Hai......*

Aarz Hai K Wal Fajar K Aayat K Ameen Hain......*

Geeso Hai K Wal Lail K Bikhre Howe Saye......*

Aabro Hain K Qoseen-E-Shab-E-Qadar kholay Hain.....*

Gardan Hai K Bar Farq-E-Zameen Auoj Surya......*

Lab Sorat-E-Yaqoot Shoaon Mein Dhale Hain......*

Qad Hai K Naboat K Khad-O-Khaal Ka Mayar......*

Bazo Hain k Toheed ki Azmat K Aalam Hain......*

Seena Hai K Ramz-E-Dil Hasti Ka Khazeena......*

Palkain Hain K Alfaz-E-Rukh-E-Laoho Qalam Hain.......*

Batain Hain K Toba Ki Chataki Hoi Kalian......*

Lehja Hai K Yazdan Ki Zaban Bol Rahai Hai.....*

Khutbe Hain K Sawan K Amndtay Howe Daria.....*

Qirat Hai K Asrar-E-Jahan Khul Rahi Hai......*

Ye Dant, Ye Sheeraza-E-Shabnam K Tarashe.......*

Yaqoot Ki Waadi Mein Damakte Howe Heere.......*

Sharminda Taab-E-Lab-O- Dandan-E-Payambar.......*

Harf-E-Ba Sana Khawani-O-Khama Ba Sareeray......*

Ye Moj-E-Tabasum Hai K Rangon Ki Dhanak Hai......*

Ye Aks-E-Matanat Hai K Thera Hua Musam.......*

Ye Shokr K Sajday Hain K Aayaat Ki Tanzeel.......*

Ye Aankh Mein Aansu Hain K Elhaam Ki Rim Jhim.....*

Ye Haath Ye Koneen Ki Taqdeer K Ouraaq.......*

Ye Khat, Ye Khad o Khaal Rokh-E-Mshaf o Injeel.......*

Ye Paon Ye Mehtab Ki Kirno K Maabd......*

Ye Naqsh-E-Qadam, Bosa Ga-E-Raf Raf o Jabraeel......*

Ye Rafat-E-Dastar Hai Ya Aoj-E-Takheel.......*

Ye Band-E-Quba Hai K Shagfat-E-Gul-E-Naheed.......*

Ye Saya Daman Hai K Phela Hua Baadal.......*

Ye Subh-E-Gareebbn Hai K Khamiyaaza Khorsheed.......*

Ye Doosh-E-Pa chadar Hai K Bakhshish Ki Ghata Hai.......*

Ye Mohar-E-Nabowat Hai K Naqsh-E-Dil-E-Mehtaab......*

Rukhsaar Ki Wazu Hai K Namu Subh-E-Azal Ki......*

Ankhon Ki Malahat Hai, K Roye Shab-E-Kam Khowab........*

Har Naqash-E-Badan Atna Manasab Hai K Jaise.......*

Tazaeen-E-Shab o Rooz K Tamseel-E-Mah o Saal......*

Malbus-E-Kahan Yuon Shakan Aalod Hai Jise......*

Tarteeb Se Pehle Rokh-E-Hasti k Khad o Khaal.......*

Raftaar Main Aflaak Ki Gardish Ka Tasawar.......*

Kirdaar Main Shamil Bani Hasham Ki Anaa Hai......*

Goftaar Mein Quraan Ki Sadaqat Ka Teequn.......*

Mayaar Mein Gardoon Ki Bulandi Kaf-E-Pa Hai.......*

Wo Fekar K Khod Aqal-E-Bashar Sar Bgreebaan......*

Wo Faqar K Thokar Mein Hai Duniya Ki Bulandi......*

Wo Shukar k khaleq Bhi Tere Shukar Ka Mamnon.......*

Wo Husan K Yosuf Bhi Karay Aaina Bandi.......*

Wo Elm K Quraan Teri Atrat Ka Qaseeda......*

Wo Hlm K Doshman Ko Bhi Umeed-E-Karam Hai......*

Wo Sabar K Shabeer Teri Shakh-E-Samar......*

Wo Zabtt K Jais Mein Arfaan-E-Umm Hai.......*

Aurang-e-saleeman teri naleen ka khaka.......*

Ejaz-e-maseeha teri bekhri hoi khoshbo........*

Husn-e-yod-e-beeza teri dheleez ki kheerat.......*

Koneen ki sajh dhajh tere aaraish-e-geeso.......*

Sar chashma kusar tere seene ka paseena.......*

Saya teri deewaar ka mayaar-e-eram hai.......*

Zaray teri galiyon k ma o anjum-e-aflaak.......*

Surajh tere rahwaar ka ek naqsh-e-qadam hai.......*

Duniya K Sallateen, Tere Jarub Kashon Mein.........*

Aalam K Sikandar, Teri Chokhat K Bihkari........*

Gardon Ki Bullandi, Teri Paposh ki Pasti.........*

Jabraeel K Shepar Tere Bachon Ki Sawari........*

Dharti K Zuvi Ul Adal, Tere Hashea Bradar.........*

Fardos Ki Horain, Teri Beti ki Kaneezain........*

Kosar ho, Gulistan-E-Iram Ho K Wo Tubaa........*

Lagti Hain Tere Shehr Ki Bekhri Hoi Cheezain.........*

Zaher Ho To Har
Bargh-E-Gull-E-Tar Teri Khosho.........*

Ghayab Ho To Dunia Ko Sarapa Nahi Milta..........*

Wo Isam, K Jis Ko Lab Choom Lein Har Baar..........*

Wo Jisam K Sooraj Ko Bhi Saya Nahi Milta.........*

Ehsaas K Sholon Mein Pigalta Hova Sooraj.........*

Anfaas Ki Sabnam Mein Thar-Tharti Hoi Khoshbo........*

Ilhaam Ki Barish Mein Ye Bheege Hove Alfaaz........*

Andaz-E-Nagrsh Mein Ye Husn-E-Ram-E-Aahu.........*

Haidar Teri Haibat Hai To Hasnain Tera Husn.........*

Ashaab Wafadaar To Naib Tere Masoom.........*

Salma Teri Azmat Hai, Khateeja Teri Toqeer........*

Zahra Teri Qismat Hai To Zenab Tera Maqsoom........*

Kis Rang Se Tarteeb Tujhe Dijiye Mola........*

Tanveer, K Tasveer K Tasawor K Mosavar........*

Kis Naam Se Amdad Talab Kijiye Tujh Se.........*

Yaseen K Taha K Mozamel K Modasir.........*

Paida Teri Khatar Hove Atraf-E-Do Aalam........*

Konain Ki Wasat K Fasoon Tere Liye Hai........*

Har Behr Ki Mujhon Mein Talatam Teri Khatar.........*

Har Jheel K Seene Mein Sakoon Tere Liye Hai........*

Har Phol Ki Khushbo Tere Daman Se Hai Mansoob.........*

Har Khaar Mein Chahat Ki Khat-tak Tere Liye Hai..........*

Har Dasht o Bayaban Ki Khamoshi Mein Tera Raaz..........*

Har Shakh Mein Zulfon Si Latak Tere Liye Hai..........*

Din Teri Sabahat Hai To Shab Teri Malahat.........*

Gul Tera Tabasum Hai Satare Tere Aanso.........*

Aaghaz-e-Baharaan Teri Anghrrai Ki Tasveer.........*

Dildari Baraan Tere Beege Howe Gesu.........*

Kohesaar K Jharne Tere Mathay Ki Shoaeen...........*

Ye Qoos-E-Quza, Arz-e-Rangeen Ki Shakan Hai.........*

Ye Ka-Hakshaan Dhol Hai Naqsh-E-Kaf-E-Pa Ki.........*

Saqleen Tera Radqa, Anwaar-E-Badan Hai..........*

Har Shehr Ki Ronaq Tere Rastay Ki Jami Dhool........*

Har Ban Ki Uddasi, Teri Aahat Ki Thakan Hai........*

Jangal Ki Faza Teri Matanat Ki Allamat........*

Basti Ki Pha-ban Tere Tabasum Ki Kiran..........*

Meedaan Tere Bozar Ki Hakomat K Mazafaat.........*

Kohesaar Tere Qanbar o Salmaan K Baseeray...........*

Sehra Tere Habshi Ki Mohabbat K Musalay.........*

Gulzaar Tere Meesam o Maqraad K Deeray............*

Kiya Zehan Mein Aaye K Tou Utra Tha Kahaan Se.........?

Kiya Koi Bataye Teri Sarhad Hai Kahaan Tak.........*

Phonchi Hai Jahaan Par Teri Naleen Ki Mati..........*

Khakstar-E-Jebraeel Bhi Phonchay Na wahaan Tak..........*

Socheen To Qowat Teri Marhon-E-Tasvar..........*

Dekheen To Tera Har Andaaz Juda Hai.........*

Ye Kam Nahi Kisi Or K Bas Mein.........*

Tuo Khod Hi Bata K Teri Hasti Kiya Hai........*

Badal Bhi Falaq K Tujh Pe Baraste Hain.

Teri Talwaar Ki Zarbaat Dusman Bhai Daray Hain.........*

Khebar K Qelay Bhi Teri Shajaat K Aage paspa........*

Metaab K Tokrray Teri Choli Mein Geray Hain.........*

Kehenay Ko To Bestar Bhi Mayasar Na Tha Tujh Ko........*

Likin Teri Dheleez Pe Utray Hain Sataray..........*

Anboh-E-Malaik Ne Hamesha Teri Khatar..........*

Palkon Se Tere Shehr K Rastay Bhi Sanwaray.........*

Kehne Ko To Ummi Tha Laqab Dahr Mein Tera........*

Likin Tuo Maarif Ka Gulistan Nazar Aaya........*

Ek Tuo Hi Nahi Saheb-E-Aayat-E-Samawaat.........*

Har Fard Tera Waris-E-Quraan Nazar Aaya.........*

Kehne Ko To Faqoon Pe Bhi Guzren Teri Raatain........*

Islaam Magr Ab Bhi Namak Khowar Hai Tera.........*

Tuo Ne Hi Sekhai Hai Tameez-E-Man o Yazdaan.........*

Insaan Ki Gardan Pe Sada Baar Hai Tera........*

Kehne Ko Tere Sar Pe Hai Dastaar-E-Yateemi.........*

Likin To Zamane K Yateemoon Ka Sahara.........*

Kehne Ko Tera Fqar Tere Fakhar Ka Baess.........*

Likin Tuo Sakhawat K Samandar Ka Kinara..........*

Khene Ko Tuo Hijrat Bhi Gawara Tujhe Likin.........*

Aalam Ka Dharrakta Hua Dil Tera Makaan Hai.........*

Kehen Ko To Maskan Tha Tera Dasht Mein Likin............*

Har Zarah Teri Bakhshish Peeham Ka Fashaan Hai........*

Kehne Ko To Ek Ghar-E-Hera Mein Teri Masnad........*

Likin Ye Falak Bhi Teri Nazroon Mein Kaf-Khak..........*

Kehne Ko To Khamosh Magr Jambish-E-Lab Se.......*

Damaan-E-Arab Gard, Garebaan-E-Ajam Chaak........*

Aye Fekr-E-Mokamal, Rokh-E-Fetrat, Lab-E-Aalam.........*

Aye Badi Kal Yaar Nabi Rehmat-E-Pheeham.........*

Aye Wagef-E-Merajh, Aye Waris-E-Koneen..........*

Aye Dildar-E-Nabi, Husn-E-Mujasam.......*

Nasal-E-Bani Aadam K Haseen Qafla Salaar.........*

Shujaat Ka Pekar,
Sardaar-E-Arab..........*

Peghamber-E-Fardos-E-Bareen, Saqi Kusaar.........*

Aye Manzil-E-Edraak, Dil o Deeda Panahi.

Aye Baes Aaeen-E-Shob o Rooz-E-Khalaiq.........*

Aye Halqa-E-Arwah-E-Muqadas K Peyambr.........*

Aye Taajor-E-Bazme-E-Shariyt.........*

Aye Aarif-E-Merajh-Bashar, Sahab-Yaar.........*

Syad o Sarkheel o Sarfaraz o Sokhan Saaz..........*

Sadaq o sajaad o sakhi sahab asraar..........*

Fekar-e-jahaan zeeb o jahaan geer o jahaan taab..........*

Feqar-e-jahaan sooz o jahaan saaz o jahaan daar...........*

Saber o sanaa o sameem o saf-e-uosaf.........*

Sarwar-e-koneen o sami-e-yam-e-asvaat..........*

Meezaan-e-anna, makta-e-pandar-e-teequn..........*

Azzaaz khodi, masdar-e-sad rashd o hadayaat.........*

Shahkir o Mashkoor-O- Shakeel-E-Shab-E-Aalam...........*

Nasir-O-Mansoor-O-Naseer-E-Dil-Insaan...........*

Shahid-O-Mashood-O-Shaheed-E-Rokh-E-Toheed..........*

Nazar-O-Manzoor-O-Nazeer-E-Lab-E-Yazdaan.............*

Yusof-O-Yaqoob-O-Haroon Salaar-E-Islam...........*

Baab-E-Manajaat-E-Dil-Younas-O-Idrees............*

Wo Shojaat-O-Dalleri Jorat-E-Medaan Ghazab Ki Lalkaar..........*

Qibla Hajaat Salemaan-O-Belqees............*

Aye Wali Yasrab Meri Faryad bhi Sun Le.........*

Aye Waris Koneen Mein Lab Khol Raha Hoon..........*

Zakhmi Hai Zubaan
Khama Dil Khon Mein Tar Hai.........*

Shair Hoon Magr Dekh Mein Such Bol Raha hoon..........*

Tuo Ne To Mujhe Apne Maaraf Se Nawaza............*

Liken Mein Abhi Khod Se Shana-Sa Bhi Nahi Hoon............*

Tuo Ne To Di The Mujhe Dolaat-E-Arfaan.............*

Liken Mein Jahalat K Andheeroon Mein Ghera Hoon..........*

Shafqat Ka Samandar Tha, Tera Lutf o Karam Bhi..........*

Lekin Main Tera Lutf o Karam Bhol Choka Hoon..........*

Bekhri Hai Kuch Aesay Shab-E-Teerah Ki Syahi.........*

Mein Sulgi Shama-E-Haram Bhol Choka Hoon.........*

Tuo Ne To Mujhe Kofar Ki Pasti Se Nikala..........*

Mein Pher Bhi Raha Qamat-E-Alhaad Ka Paband..........*

Tuo Ne Nere Zakhm Ko Shabnam Ki Zubaan di...........*

Mein Pher Bhi Tarrpta Hi Tarrpta Hi Raha Surat-E-Aspand..........*

Teri Zubaan Nokta Sheereen Ki Tara.........*

Mein Pher Bhi Raha Matqad-E-Talkh Kallami...........*

Tuo Ne To Mera Dagh-E-Jabeen Dho Bhi Diya Tha..........*

Mein Pher Bhi Raha Saeed o Sana khovaan-E- Gholmi..........*

Tuo Ne To Maslat Kiya Aflak Pe Mujh Ko..........*

Mein Pher Bhi Raha Khak K Zaroon Ka Pujari..........*

Tuo Ne To Sataray Bhi Nechawar Kiye Mujh Par.........*

Mein Pher Bhi Raha Teergi, Shab Ka Shekari............*

Tuo Ne To Mujhe Dars-E-Masawaat Diya Tha..........*

Mein Pher Bhi Man o Tuo K Marahel Mein Raha Hoon........*

Tuo Ne To Jodda Kar K Dekhaya Haq o Batail..........*

Mein Pher Bhi Tameez Haq o Batail Mein Raha Hoon...........*

Ye Zameen Aasmaan Sab K liye hai.........*

Hum Ne Hi Kai Khatoon
Mein Asay Bant Diya Hai.........*

Tuo Ne Jaise Thokar K Bhi Qabil Nahi Samja.........*

Mein Us Kankar Ko Gohar Man Liya Hai........*

Too Ne To Kaha Tha K Zamane Ka Khuda............*

Insan K Khayalon Mein Kabhi Aa Nahi Sakta..........*

Lekin Main Jahalat K Sabbab Sirf Ye Samjaha............*

Wo Kaia Khud..? Jis Ko Bashar Pa Nahi Sakta..........*

Too Ne To Kaha Tha K Wo Uncha Hai Khard Se..........*

Main Ne Yehi Chaha Utar Aaye Wo Khard Mein...........*

Too Ne To kaha Tha K Ahad Hai Wo Azal Se..........*

Main Ne Usay Dhoonda Hai Sada Has-O-Adad Mein...........*

Ab Ye Hai K Dunia Hai Meri Teera o Tareek..........*

Saya Gham-E-Doraan Ka Muheet-E-Dil o Jaan Hai.........*

Har Lamha Udasi K Tasraf Mein Hai Ehsas...........*

Ta-Had-E-Nazar Khof-E-Musalsal Ka Dhovaan Hai.........*

Sehraye Gham o Yaas Mein Pheeli Hai Karri Dhop.........*

Kuch Lamis-E-Kaf-E-Mujh-E-Saba Tak Nahi Milta..........*

Be Anth Saraboon Mein Kahaan Jada Manzil..........*

Apna Hi Nishaan-E-Kaf-E-Pa Tak Naii Melta..........*

Aassab Shakasta Hain To Chani Hain Negahain..........*

Ehsaas-E-Baharaan Na Gham-E-Fasal-E-Khizaan Hai........*

Aandhi Ki Hateli Pe Jugno Ki Tarah dil.........*

Sholoon K Tasaraf Mein Rag-E-Ghncha Jaan Hai.........*

Har Samt Hai Ranj o Gham o Aalaam Ki Barish..........*

Seenay Mein Har Ek Saans Bhi Neezay Ki Ani Hai..........*

Ab Aankh Ka Aaina Sambhaloon Mein Kahan Tak.........*

Jo Ashk Bhi Behta Hai Wo Heeray Ki Kani Hai.........*


Ahbaab bhi Aadad Ki Thara Tere Bakaf Hain.........*

Ab Mout Bhatakti Hai Saf-E-Chara Garaan mein..........*

Sonsaan Hai Maqtal Ki Taran Shehr-E-Tasawar.........*

Sehmi Hoi Rehti Hai Faghaan, Kheema Jaan Mein...........!

ILhaam Ki Rim Jhim Kahin Bakhshish Ki Ghata Hai

ILhaam Ki Rim Jhim Kahin Bakhshish Ki Ghata Hai

ILhaam Ki Rim Jhim Kahin Bakhshish Ki Ghata Hai...
Ye Dil Ka Nagar Hai K Madinay Ki Fiza Hai...?
Sanso'n Main Mehakti Hain Manajaat Ki Kaliya'n
Kaliyo'n K Katoro'n Pay Tera Naam Dhara Hai
Galiyo'n Main Utarti Hain Malaayak Ki Qatarein
Ehsas Ki Basti Main Ajab Jashan Bapa Hai...!!

Hai Qariya_E_Idrak Munawar Teray Dam Say
Har Sa'at_E_Khush Bakht Jaha'n Naghma_Sara Hai...!!
Sun Lay Ga Mera Maajra Tou Bhi K Azal Say
Peigham Bar_E_Deeda_O_DiL Moj_E_Saba Hai.....!!
Hain Nazar Teri Barigaah_E_Naaz Main Afkaar
Tou Markiz_E_Dildarii_E_Arbaab_E_Wafa Hai...!!

Ab Kon Had_E_Husn_E_Talab Soch Sakay Ga?
Konein Ki Wus'at To Tah_E_Dast_E_Dua Hai...!!
Hai Teri Kasak Main Bhi Dhamak Hashar K Din Ki
Woh Youn K Mera Qariya_E_Jaan Goonj Raha Hai....!!
Aasaab Pay Haavi Hai Sada Heibat_E_IQRA
Jabreel_E_Mu'adat Ko Yeh Dil_E_Gaar_E_Hira Hai...!!!

Ayaat K Jhurmat Main Teray Naam Ki Musand
Lafzo'n Ki Angoothi Main Nageena Sa Jura Hai..!!
Ik Baar Tera Naqsh_E_Qadam Choom Liya Tha
So Baar Falak Shukr K Sajday Main Jhuka Hai....!!
Khursheed Teri Raah Main Bhatakta Hua Jugnu
Mehtab Tera Reza_E_Naqsh_E_Kaf_E_Paa Hai...!!

Talmeeh_E_Shab_E_Qadr Tera Aks_E_Tabasam
"Noroz" Tera Husn_E_Gireban_E_Qaba Hai...!!
Her Subh Teray Farq_E_Falak Naaz Ka Par Tou
Her Sham Teray Dosh_E_Mua'la Ki Rida Hai.....!!
Taaray Teray Rahwaar K Qadmon K Shiraray
Gurd'on Tera Daryoza_Gar_E_Aabla_Paa Hai...!!

Ya Teray Khad_O_Khaal Say Kheera_Mah_O_Anjam
Ya Dhoop Nay Khud Saaya Tera Orh Liya Hai....!!
Ya Raat Nay Pehni Hai Malaaahat Teri Tan Par
Ya Din Teray Andaz_E_Sabaahat Pay Gaya Hai...!!

Yaseen Teray Ism_E_Girami Ka Zameema
Hai Noon Teri Madh, Qalam Teri Sana Hai...!!
Walayal Teray Saaya_E_Gaisu Ka Taraasha
Wal_Asar Teri Neem Nigaahi Ki Ada Hai...!!!

Faaqo'n Say Khameeda Hai Sada Qaamat_E_Darba'n
Thokar Main Magar Silsila_E_Arz_O_Sama Hai....!!
Geiro'n Pay Bhi Altaaf Teray Sab Say Alag They
Apno'n Pay Nawazish Ka Bhi Andaz Juda Hai...!!
Dil Main Ho Teri Yaad To Tufaan Bhi Kinaara
Haasil Ho Tera Lutf To Sar_Sar Bhi Saba Hai...!!

Lamho'n Main Simat Kar Bhi Tera Dard Hai Taza
Sadiyo'n Main Bikhar Kar Bhi Tera Ishq Naya Hai...!!
Dekho To Teray Dar Ki Ghulami Main Hai Shaahi
Sochou'n To Tera Shoq Mujhay "Zil_E_Huma" Hai...!!
Rag Rag Ne Sameti Hai Tere Naam Ki Faryad...
Jab Jab Bi Pareshan Mujhe Dunya Ne Kia Hai...

Khaaliq Nay Qasam Khaayi Hai Us "Shehr_E_Ama'an" Ki
Jis Shehar Ki Galiyo'n Nay Tujhay Wird Kiya Hai...!!
Ye Qos_E_Qazah_Hai K Sar_E_Safha_E_Afaaq
Barsaat Ki Rut Mein Tera Mehraab_E_Dua Hai..!!
Ab Aur Bayaa'n Kaya Ho Kisi Say Teri Midhat?
Yeh Kam To Nahi Hai K Tou Mehboob_E_Khuda Hai...!!

Suraj Ko Ubharne Nhi Deta Tera Habshi...
Be Zar Ko Abu-Zar Teri Bakhshish Ne Kia Hai...
Hai Moj_E_Saba Ya Teri Saanso'n Ki Bhikaaran?
Hai Mosam_E_Gul Ya Teri Khieraat_E_Qaba Hai...!!
Khursheed_E_Qayaamat Bhi Sarzfaraaz Bohat Hai
Lekin Teri Qaamat Ki Kashish Is Say Siva Hai...!!

Zam_Zam Teray Aaain_E_Sakhaawat Ki Gavaahi
Kosar Tera Sarnaama_E_Dastoor_E_Ata Hai..!!
Jalta Hua Mehtaab Tera RehRav_E_Betaab
Dhalta Hua Sooraj Teray Kheimay Ka Diya Hai...!!
Saqlain Ki Qismat Teri Dehleez Ka Sadqa...
Aalam ka Muqaddar Tere Hathon Me Likha Hai...

Utray Ga Kahan Tak Koi Ayaat Ki Teh Mein
Quran Teri Khatir Abhi Masroof_E_Sana Hai...!!
Mehshar Mein Paristaar Teray Youn To Bohat Hain
Sad Shukr Mera Naam Tujhay Yaad Raha Hai...!!

A Gumbad-e-Khizra K Makeen Meri Madad Kr...
Ya Phir Ye Bata Kon Mera Tere Siwa Hai...??
Bakhshish Teri Ankhon Ki Taraf Dekh Rhi Hai...
"Mohsin" Tere Darbar Mn Chup Chap Khara Hai..!!

Thursday 18 September 2014

Kab Talak Dil Ko Cchupa Rakhain Gay


Bain

Kab Talak Dil Ko Cchupa Rakhain Gay
Dukh Deemak K Nazar Paar Utar Jaayein Gay
Zindagi Jeisay Ghata Toop Andhairay Main Basar Hoti Hia
Naaghaani Kisi Bhaphray Hue Wehshi Ki Tarha
Rooh Ki Dhool Urra Jaati Hai
Sukh Ki Be-Sood Tamanao Ki Paadaash Main Yaktarfa Saza
Aan Girti Hai Kisi Gareeb Say Naadeedgi Adal K Palrro Pay Safar Karti hui
So Rahay Hotay Hain Thak Haar K PuncChi Ghum K
Daar K Daar Urra Jaati Hai
Kab Talak Dil Ko Cchupa Rakhain Gay
Khoon Main Utri Hui Moat Say Oojhal Hai
Shaakh Say Liptay Hue Saanp Ki Maanind Bohat Dheeray Say
Aashiyaanay Ki Taraf Barhti Hai
Jhir Jhiri Bhi Nahi Leinay Deiti
Bain Izzat He Sahi Maiyat Ki Magar Baad Baaton Say Kabhi
Saaibaan Jurrtay Nahi Tootay Hue
Aasman Zinda Nahi Ho Jaatay
Aasman Martay Hain Aur Waqt Bigarr Jata Hai
Aasmaan Martay Hain Aur Shehar Ujarr Jata Hai
Kon Si Subha Jagaayein Gay Sir Ehd O Wafa, Kon Si Raat Sula Rakhain Gay
Kab Talak, Aur Bhala Kis Kis Say Khafa Rakhain Gay
Koi Awaz Lotay Gi
Koi Mehroom Dilaasa Bhi Nahi Paltay Ga
Kab Talak DiL Ko Cchupa Rakhain Gay
Sog Ka Sog Mana Lainay Say Kaya Hota Hai____!!

Ishq Ik Majnoon Boorha Devta


Ishq Ik Majnoon Boorha Devta

Ishq Ik Majnoon Boorha Devta
Na Shanasayi Pay Heira'n
Be_Hasi Pay Sakht Naala'n Deharki
Hath Mein Ik Ley K Puriya Zehar Ki
Baal Bikhraye
Smeitay Dhajiya'n Malboos Ki
Paao'n Mein Pehnay Hue Zakhmo'n K Naa'lein_E_Kohan
Patharo'n Ko Khatkhtaata Phir Raha Hai
Daalta Phirta Hai Nazrein Qehar Ki....!!

Apnay Jhoolay Main Liye Kuch But Puraanay
Aur Kuch Guriya'n Beetay Zamany Ki
NaJaanay Kaya Burburata Phir Raha Hai
Be_Khabar Hai Apni Haalat Say
Khalqat Hans Rahi Hai Har Gali K Morr Par
Aur Sun Raha Hai Siskiya'n Bhi Fitrat_E_Nam'naak Ki
Pur_Peich Rasto'n Ki Lagaamein Thaam Kar
Kaainat_O_Tajard Ungliyo'n Say Baandh Kar Bhi
Dil Main Koi Gham Chupaye Phir Raha Hai
Waqt Ki Dharkan Pay Rakhta Apnay Qadmo'n K Nishan
Chakra Raha Hai.....!!
Hans Raha Hai Rotay Rotay
Ro Raha Hai Hanstay Hanstay
Patharo'n, Pathar_Garo'n K Darmiya'n
Ishq Ik Majnoon Boorha Devta
Hath Main Ley K Puriya Zehar Ki.....!!

Mujhe Maloom Hai Sab Kuch


Mujhe Maloom Hai Sab Kuch

Mujhe Maloom Hai Sab Kuch,,
K Woh Harf-E-Wafa Say Ajnabi Hai,,
Woh Apni Zaat Say Hat Kr,,
Bohat Kam Sochti Hai,,
Woh Jab Bhi Aaiyna Dekhey,
To Bus Apney Hi Khad-O-Khaal K Taiwar Dekhti Hai....!!
 Usay Apney Badan K Zaaviye,
Qausein, Musalas,Mustateelein
Bazu'on Ki Dastaras Mein Raqs Krti Khwahisho'on Ki Sab Uranein
Qeemti Lagti Hein Seem-O-Zar K Posheeda Khazano'on Say
Zameeno'on, Aasmaano'on Mein Rawa'an Roshan Zamano'on Say
Woh Lamha Lamha Apney Hi Tarasheeda Kurron Mein  Ghoomti Hai,
Woh Baarish Mein Nahaayi Dhoop K Aangan Mein,
Nichurti, Naachti Boondo'on Ko Pe Kr Jhoomti Hai....!!
Usay Apney Siwa, Duniya Ki Her Soorat,
Her Ik Tasveer,Betarteeb Lagti Hai,
Mujhey Maloom Hai Sab Kuch,
K Woh Rango'on Bharey Manzar, Dhanak K Zaeqey,
Ujli Fiza Ki Khushbu'en,
Jhilmil Shua'yen,
Apne Honto K Halqo'on Mein Muqaiyyad Kr K Apni Muskurahat K,
Dareechey Kholti Hai,
K Woh Iqrar K Lamhon Mein Kam Kam Bolti Hai,
Mujhe Maloom Hai Sab Kuch,
Magar Maloom Hi Sab Kuch Nahi Hai
,K Is Maloom Ki Sarhad K Us Janib,
Fishaar-E-Aagahi Ka Aasman Hai,
Khud Faramoshi,Khamoshi Ki Zameen Hai,
Jahan Zahir Ki Aankhon Say Abhi Madoom Hai,
Mujhe Sab Maloom Hai,Magar Maloom Hi Sab Kuch Nahi Hai...!!

Gar Mujhey Iska Yaqeen Ho Merey Humdum,MereY Dost

Gar Mujhey Iska Yaqeen Ho Merey Humdum Merey Dost
Gar Mujhey Iska Yaqeen Ho K Terey Dil Ki Thakan..
Teri Ankhoon Ki Udasi,
TereY Seeney Ki Jalan..
Meri Dil_Jooi,Mere Pyar Say Mit JayE Gi..
Gar Mera Harf-E-Tasalli,Woh Dava Ho
,Jis Say Ji UThey Phir Say Tera Ujrra Hua Be_Noor Dmag...
Teri PaishanI Say Dhul Jayein Yeh Tazleel Ka Daagh...!!
Teri Bemar Javani Ko Shifa Ho Jaye..
Gar Mujhey Iska Yaqeen Ho Mere Humdum Merey Dost...!!
Roz-O-Shab,Shaam-O-Sehar Main Tujhey Bhelata Rahun...
Main Tujhey Geet Sunata Rahun..Halkey Sheereen
Absharoon K,Baharoon K,
Chaman_Zaaroon K Geet..Aamad-E-Subh K,Mehtaab K,
 Sayaroon K Geet Tujh Say Main Husn-O-Mohabbat Ki Hikayaat Kahun...!!
Jesay Maghroor Haseenaoon K Barfaab Say Jism.
.Garm Hathoon Ki Hararat Say Pighal Jatey Hain...
Jesay Ik Chehrey K Thehray Hue Maanoos Naqoosh Dekhtey Dekhtey He Badal Jatey Hain..
Kis Tarah Aariz-E-Mehboob Ka Shafaf Baloor...Y
akbayak Baada-E-Ahmer Say Dekhak Jata Hai..
Kesay Gulcheen K Liye Jhukti Hai Khud Jhukti Hai ShaaKh-E-Gulaab..
Jis Tarah Raat Ka Aiwaan Mehak Jata Hai....!!!
Youn Hi Gata Rahun,Gata Rahun,
Teri Khatir Geet Bunta Rahun,Baitha Rahun, Teri Khatir..
Par Merey Geet Terey Dukh Ka Madava He Nahi..
Naghma Jaraah Nahi,Moonis-O-Gum_Khuwar Sahi...
Geet Nashtar To Nahi,Marham-E-Azar Sahi...!!
Teray Azar Ka Charaa Nahi...
Nashtar K Siva Aur Ik Safaaak Maseeha..
Merey Qabzey Main He Nahi...
Is Jahan K Kisi Zee_Rooh K Qabzey Main Nahi...
Haan Magar Terey Siva,Teray Siva, Terey Siva.......!!

Yeh Waqt Kaya Hai


Yeh Waqt Kaya Hai

Yeh Waqt Kaya Hai? Yeh Kaya Hai Aakhir K Jo
Musalsal Guzar Raha Hai....
Yeh Jab Na Guzara Tha,Tab Kahan Tha?Kaheen To Hoga...
Guzar Gaya Hai To Ab Kahan Hai? Kaheen To Hoga...
Kahan Say Aaya Kidhar Gaya Hai...
Yeh Kab Say Kab Tak Ka Silsila Hai?
Yeh Waqt Kaya Hai?
Yeh Wakeye,Haaadsay, Tasaadum,Har Ek Gam Aur Her Ek Muasarat,
Her Ik Aziyat,Har Ek Lazat,Har Ik Tabassum,Har Ek Aansu,
Har Ek Nagma Har,Ek Khushbu,Woh Zakhm Ka Dard Ho
K Lams Ka Jaadu,Khud Apni Aawaz Ho K Mahool Ki Sadaayen,Yeh Jahan Main Banti Aur
Bigarti Hui Fizayein, Wo Fikr Main Aaye Zalzalay Hon,
K Dil Ki Halchal,Tamaam Ehesaas,Sarey Jazbey,Jaisey Patte Hain
Behtey Paani Ki Satah Par,Jaisey Tairtey Hain Abhi Yahan Hain, Abhi Wahan Hain
Aur Ab Hain Ojhal Dikhai Detey Nahi Hain Lekin Ye Kuch To Hain
Jo K Beh Rahay Hain,Ye Kaisay Dariya Hain
Kin Pahaaron Say Aa Rahay Hain,Ye Kis Sumandar Ko Ja Raha Hain
Yeh wWqt Kaya Hain?
Kabhi Kabhi Main Ye Sochta Hon,K Chalti Gaari Say Pair Dekhun To Esa Lagta Hai
Doosri Simat Ja Rahey Hain,Magar Haqiqat Main,Pair Apni Jagah Kharay Hain
To Kya Yeh Mumkin Hai Saari Sadiyan
Qataar Andar Qataar Apni Jagah Khari Hon,Yeh Waqt Saakit Ho
Aur Hum Hi Guzar Rahey Hon??
Is Ek Lamhay Main Saray Lamhey
Tamam Sadiyan Chhupi Hui Hon?
Na Koi Aainda,Na Guzashta,
Jo Ho Chukay Hain,Woh Ho Rahay Hain
Jo Honay Walay Hain Ho Rahay Hain? Main Sochta Hon
K Kaya Ye Mumkin Hain? Such Ye Ho
K Safar Mein Hum Hain,Guzaratey Hum Hain, Jisey Samajtey Hain Hum Guzartay Hain Woh Thamay Hain?Guzaratay Hain Ya Thamay Hue Hain
Ikathey Hain Ya Batay Hue Hain?
Hai Munjamind,Ya Pighal Rahay Hain
Kise Khabar Hai,Kisay Pata Hai Ye Waqt Kaya Hai..!!
Ye Kainaat_E_Azeem Lagta Hai Apni Azmat Say Aaj Bhi Mutmain Nahi Hai
K Lamha Lamha Wasee'Tar Say WaseeTar Hoti Ja Rahi Hai,Yeh Apni Bahein Pasaarti Hai
Ye Kehkashaao'on Ki
Ungliyon Say
Nayi Khalao'on Ko
Chhu Rahi Hai,Agar Ye Such Hai To Har Tasawar Ki
Had Say Baahar Magar Kahen Par Yakenan Esa Koi Khala Hai
K Jis Ko In Kehkashaao'on Ki
UIngliyo'on Nay
Ab Tak Chuva Nahi Hai,Khala Jahan Kuch Hua Nahi Hai,Khala K Jis Nay Kisi Say Bhi
'Kun' Nahi Suna Hai,Jahan Abhi Tak Khuda Nahi Hai,Wahan Koi Waqt Bhi Na Ho
Ga..Ye Kainaat_E_Azem Ek Din Chuvey Gi Us Un Chhuvey Khala Ko
Aur Apney Saarey Wajood Say
Jab Pukarey Gi 'Kun
'To Waqt Ko Bhi Janam Miley Ga,Agar Janam Hai To Mot Bhi Hai,
Main Sochta Hon,Ye Such Nahi Hai K Waqt Ki Koi Ibtida Hai Na Intiha Hai,
Ye Dor Lambhi  Bohat Hai Lekin Kaheen To Is Dor Ka Sira Hai?
Abhi Ye Insan Ulajh Raha Hai K Waqt K Is Kafs Main Paida Hua
Yahen Pala Yahen Barha Hai
Magar Usay Elam Ho Gaya Hai
K Waqt K Is Kafs K Bahar Bhi
Ik Fiza Hai,
To Sochta Hai,Puchta Hai
Yeh Waqt Kaya Hai?

Hum Musafir Hein Meri Jan Musafir Teray


Hum Musafir Hein Meri Jan Musafir Teray

Hum Musafir Hein Meri Jan Musafir Teray
Hum To Barish Say Bhi Dar Jatay Hain
Aur Dhoop Say Bhi
Apnay Qadmo'n Say Mitayein Jo Lahu K Dhabay
Raastay Gusay Main A Jatay Hain....!!
Hum Musafir Hain
Karaaiyo'n Ko Tarsatay Hue Kheimo'n Mein Ghiray
Ghar Say Ghabraye Hue Youn He Hua Kartay Hain
Ajnabi Shero'n K Waahemo'n Main Paray
Khof Aur Adam Tahafaz Say Churatay Hain Nigahein....!!
To Kaheen Aur He Ja Partay Hain.....!!
Kab Talak Kon Humain Rakhay Ga Mehman Mohabbat K Siwa
Aur Kisi Roz Humain Yeh Bhi Kahay Gi Khuda He Hafiz...!!
Hum Jo Logo'n Say Jhijaktay Hain To Majburi Hai
Hum Jo Rasto'n Main Bhataktay Hain To Mehsuri Hai
Hum Musafir Hain Meri Jan Musafir Teray
Hum Agar Tujh Say Bichartay Hain To Mehjuri Hai.......!!

Wednesday 17 September 2014

Is Kainat Rang Mein















Ankhon K Paar Chand

Is Kainat Rang Mein
Duniya_E_Sang Mein
Hum Qaid To Nahi Thay
Magar Is Ke Ba_Wajood
Aazadiyon Ne Lutf_E_Rihai Nahi Diya
Chaha Bohat Ke Apne Hi Andar
Kabhi Kahin Utrein
Utar Ke Khud Ko Talashein Kuch Is Tarah
Haathon Mein Apna Khoj Ho
Dil Mein Visal Aag
Pairon Mein Aaghi Ki Bulandi Ke Raste
Lekin Badan Se Rooh Ki In Manzilon Ke Beech
Wo Raat Thi Ke Kuch Bhi Sujhai Nahi Diya
Koi Wajood Tha Ke, Jo Tari Tha Zaat Par
Aankhon Ke Paar, Chaand Dikhai Nahi Diya.........!!

Aa Aur Mere Wajood Mein Utar



















"Ay Raat"

Aaa Aur Mere Wajood Mein Utar Ay Raat
Aa Aur Mere Galey Lag Jaa
Aa Mein Tumhari Ankhein
Tumharey Hont
Tumharey Rukhsaar
Aur Tumhari Peshani Chomu'on
Tumhari Thori Pe Bosa Du'n
Tumhein Kajal Lagaon
Tumharey Baal Sanwaru'on
Aur Tumhari Mang Mein Sitarey Bhar Dun
Aur Tumharey Shaney Pe Sar Rakh K
Bichrhe Hue Logon Ko
Aur Bheetey Hue Lamhon Ko Yaad Karon
Aur Toot Ke Charon Taraf
Bikhrey Hue Ayeinon Ki Kirchian Chun Chun Kar
Inhein Apney Zakhmi Pourain Dikhaon
Ay Raat.......
Aa ......Aa Aur Meri Hatheli Pe Ahista Ahista
Apna Tamaam Roop Phela Dey
Ay Raat..........!!

Tuesday 16 September 2014

Woh Ankhon Ankhon Mein Bolti Hai


Woh Ankhon Ankhon Mein Bolti Hai

Woh Ankhon Ankhon Mein Bolti Hai
To Apnay Lehjay Main
Kachi Kaliyon Ki Nikhatein
Adh_Khilay Gulab'on Ka Ras,
Khunak Rut Main Shehad Ki Moj Gholti Hai...!!!

Woh Zer-E-Lab Muskara Rahi Ho
To Aisay Lagta HaiJaisay Sham-O-Sehar Galay Mil K An_Suni Lay Main Gungunayein,,!!

Saba Ki Zulfein Khilein
Sitaro'on K Taar Sanson Main Jhunjhunein...!!


Woh Abrou'on Ki Kamaan K Saaye Main Chahaton Say Atti Dhoop Rahato'on Main Khilli Hui Chandni K Mosam Nikhaarti Hai...!! 

Woh Dil Main Khwahish Ki Lehar Leti Ziddein
Khayalon Ki Kirchiyan Tak Utaarti Hai
Hawa Ki Aawargi K Humrah 
Apni Zulfein Sanwaarti Hai....!!

Kabhi Woh Apnay Badan Pay Ujli Ruto'on Ka Resham Pehan K Niklay
To Kitnay Rango'on K Daaiyray 
Silvato'on Ki Soorat Main Toot'tay Hain...!!

Woh Lab Hilaaye To Phool Jhartay Hain
Us Ki Batein Kunj-E-Dayar-E-Yaaqoot Say Shuaao'on K An_Ginat Taar Phhoot'tay Hain.....!

Woh Sar Say Paaoon Talak Dhanak, Dhoop, Chandni Hai
Dhulay Dhulay Mssamo'on Ki Be_Sakhta Ghazal Bakht Shaiyre Hai!!(Meray Hunar K Sabhi Asaaso'on Say Qeemti Hai)

Woh Mujh Main Ghul Mil Gayi Hai Lekin 
Abhi Talak Mujh Say Ajnabi Hai 
Kisi Adhoori Ghari Main Jab Jab 
Woh Be_Iradah Mohabbaton K Chupay Chupay Bheid Kholti Hai
To Dil Yeh Kehta Hai Jis Ki Khatir Woh Apni "Sansein"Wafa Ki Sooli Pay Tolti Hai
Woh Aasma'an Zaad
Kehkashan Bakht----(Kuch Bhi Keh Lo----!)
Jo Uski Chahat Ka "Aasra" Hai
Woh "Main" Nahin Hoon...!! 

Koi To Hai Jo Meray Siwa Hai
Woh Shehar Bhar K Tamam "Chehro'on" Say Hatt K
Ik "Aur Meharbaan" Hai
Jo Uski Khwahish Ka "Aasmaan" Hai
(Kisay Khabar Kaun Hai, Kahan Hai?)

Magar Mujhay Kaya?
K Main Zameen Hoon..!!
Woh Jis Ki Chahat Main Apni Sansein Lutta Rahi Hai
Woh "Main" Nahin Hoon........Woh Aankhon Aankhon Main Bolti Hai.....!!

Hawa Kyun Bhool Jati Hai


Hawa Kyun Bhool Jati Hai

Hawa Kyun Bhool Jati Hai?
K Apnay Rat-Jagay,Taira Asaasa,Hamaari Jaagti Raaton Ki Saari Kirchiyaan..
Ankhon Main Chubhti Hain,To Kaya Kuch Yaad aata Hai....?


Safar, Awaargi, Hijr-O-Wisaal-E-Dil-figaaraa'n,Mehfil-e-Laala-Rukhaa'n,
Aks-e-Hajoom Gul-Azaaraa'n,Nighat-E-Fasl-E-Bahaaraa'n,
Maatam-E-Yaaraa'n,Hawa___ Andhii Hawa___!!

Jab Bhi Thakay Haaray Parindon'n Ki Tarah,
Khud Toot Kr Bikhray Huye Pattay

Zameen Ki Khak Say Chunti Hai,
Bhatkay Rah-Rawo'n K Naqsh-E-Paa,
Rasto'n Ki Pathreeli Hathaili Say Uthaati Hai,
Kisi Ujrray Khandar Ki Khamoshi Jab Sansanaati Hai,
Hawa, Kyun Bhool Jati Hai??

 K Hum Apnay Kawaardo'n Ko Teri Dastak Say Pehlay,
Apnay Boseeda Gareebaano'n Ki Soorat Khol Detey Hain,
Teri Kahtir Hum Ankhon Main,Sitaaray Ghol Daitay Hain...

Kay Hum Tairay Siwa Apnay Bhi "Kuch" Lagtay To Hain Aakhir,
Hawa, Tujhsay Jo Mumkin Ho..!!To Sadiyon Ki Thakan Ashko''n Say Dhonay Day,Hamain Khul K Ronay Day!
Dil_E-Be-Mehar Ko Chubhtay Huye Khuwaabo'n K Pas-E-Manzar Main Khonay Day!!
Hawa!! Pal Bhar Ko Sonay Day..!!

Wednesday 27 August 2014

Kaash Ik Baaghi SItaray Ki Tarha Aansu Mera













Kaash Ik Baaghi SItaray Ki Tarha Aansu Mera
Teri Palko'on Par Machalta Aur Duniya Dekhti
Piyas Pi Leti Sumandar Ki Ragon K Zaaiqay
Sipya'an Sehra Ugalta Aur Duniya Dekhti________!!!

Hum To Kal Bhi Kehtay They


















Aaina To Ujla Hai

Hum To Kal Bhi Kehtay They
Apnay Aks Ki Kalak Dhul Sky To Dho Dalo
Aks Ki Sabahat Ko Bars Chaat Jata Hai
Hum To Kal Bhi Kehtay They
Apni Terhi Ankhon K Tirchay Zaviye Badlo
Zaviye Jo Tirchay Hon Mustaqem Rahon Ka Kab Suraag Milta Hai??
Aainay Ki Azmat Sy Ab Hiqaaratein Kesi?
Aks Sy Gureiza'an Hein Ab Bsaaratein Kesi?
Apnay Ap Sy Kb Tk Youn Nzar Churao Gy?
Aain Jo Toro Gy Khud B Toot Jao Gay_____!!

Tuesday 20 May 2014

Keh Raha Hai Bahar Ka Mosam


















Keh Raha Hai Bahar Ka Mosam
Humsafar Ho Koi Teray Jesa__!!

Ik Pal Mein Ho Gaye Gum












Ik Pal Mein Ho Gaye Gum_________________
Teray Rabtay,Teray Rastay Aur Tum _________!!

Thursday 20 February 2014

Jo Ranayi Nigahon K Liye Samaan E Jalwa Hai


















Jo Ranayi Nigahon K Liye Samaan_E_Jalwa Hai
Libas_E_Muflasi Mein Kitni Be_Qeemat Nazar Ati

Yahan To Jaazbiyat Bhi Hai Dolat Hi Ki Parwarda
Ye Larki Faaqa'kash Hoti To Bad'soorat Nazar Ati_____!!



Tumharay Shehar Ka Mosam Bara Suhana Lagay















Tumharay Shehar Ka Mosam Bara Suhana Lagay
Mein Ek Shaam Chura LuU'n Agar Bura Na Lagay_______!! 

Wednesday 19 February 2014

Moat Ka Ek Din Muaiyan Hai


















Moat Ka Ek Din Muaiyan Hai
Neend Kyun Rat Bhar Nahi Ati___!!

Sham Say He Bujha Say Rehta Hai


















Sham Say He Bujha Say Rehta Hai
Dil Hai Goya Charag Muflis Ka___!!

Her Ek Charag Ki Lo Aisi Soi Soi Thi


















Her Ek Charag Ki Lo Aisi Soi Soi Thi
Woh Sham Kisi Say Bichar K Roi Thi

Naha Gaya Tha Mein Kal Jugno'on Ki Barish Mein
Wo Meray Kandhay Pay Sir Rakh K Khob Roi Thi__!!

Khawhish Nahi Zara Bhi Mujhay Naam Waam Ki













Khawhish Nahi Zara Bhi Mujhay Naam Waam Ki
Meray Qalam Ko Pyas Hai Kosar K Jaam Ki___!!

Waisay To Wo Hun Han K Siwa Kuch Nahi Kehtay













Waisay To Wo Hun Han K Siwa Kuch Nahi Kehtay
Kehnay Pay Aayein To Phir Kaya Kuch Nahi Kehtay_____!!

Zarooraton Ki Bairiyan Pari Hui Hain Paon Mein














Zarooraton Ki Bairiyan Pari Hui Hain Paon Mein
Tum He Btao Lot Aon Kis Trha Mein Gaon Mein____!!

Kabhi Tamana K Raston Par


















Kabhi Tamana K Raston Par
Nikal Paro To Khyal Rakhna
Kaheen Say Khali Palay K Ana
Bohat Kathan Hai_________!!

G Chahay K Duniya Ki Her Ik Fikr Bhula Kr












G Chahay K Duniya Ki Her Ik Fikr Bhula Kr
Kuch Shair Sunaon Mein Tumhain Pas Bitha Kr__!!

Moat Ka Ek Din Muaiyan Hai


















Moat Ka Ek Din Muaiyan Hai
Neen Kyun Raat Bhar Nahi Ati___!!

Tuesday 18 February 2014

Us Shokhi E Guftar Par Ata Hai Bohat Pyar


















Us Shokhi_E_Guftaaar Par Aata Hai Boohat Pyaaaar
Jab Pyaar Say Kehtay Hein Woh Sheitan Kaheen Ka____!!!