Friday, 7 February 2014

Adeem Hashmi Poetry




















Koi Pathar Koi Gohar Kion Hai

Koi Pathar Koi Gohar Kion Hai
Farq Logon Main Iss Qadar Kion Hai

Tuu Mila Hai To Ye Khayaal Aaya
Zindagi Itni Mukhtasar Kion Hai

Jab Tujhe Laut Ker Nahi Aana
Muntzair Meri Chashm-E-Terr Kion Hai

Uss Ki Aankhain Kaheen Sadaf To Nahi
Uss Ka Her Ashk He Gohar Kion Hai

Raat Pehle He Kion Nahi Dhalti
Teergi Shab Ki Ta sahar Kion Hai

Ye Bhi Kesa Azaab De Daala
Hai Muhabbat To Is Qadar Kion Hai

Tuu Nahi Hai to Roz-O-Shab Kese
Shaam Kion Agai Sahar Kion Hai

Kion Rawana Hai Her Ghari Dunya
Zindagi Mustaqil Safar Kion Hai

Main To Ek Mustaqil Musafir Hoon
Tuu Bhala Mera Hamsafar Kion Hai

Tujh ko Milna Nahi Kisi Se Adeem
Phir Bichhernay Ka Tujh Ko Darr Kion Hai_______!!
______________________________

I Know We Sometimes Argue

I know we sometimes argue, and
I sometimes blow my lid.
But I still love you very much:
I�m only just a kid.

Sometimes I need to push against
The fences you erect,
Even though I know they�re there
To shelter and protect.
I know you want the best for me
And to keep me from all harm.
I just want you to know I couldn�t
Have a better mom_________!
______________________________

Jab Bayaan Karo Ge Tum Hum Bayaan Main Niklain Ge

Jab Bayaan Karo Ge Tum Hum Bayaan Main Niklain Ge
Hum He Dastaan Ban Ker Dastaan Main Niklain Ge

Ishq Ho Muhabbat Ho Pyaar Ho K Chaahat Ho
Hum To Her Samander Ke Dermiaan Main Niklain Ge

Raat Ka Andhera He Raat Main Nahi Hota
Chaand Aur Sitaaray Bhi Aasmaan Main Niklain Ge

Dekh To Kabhi Shab Ko Kaarwaan Sitaron Ka
Noor Ke Kaee Mehmil Kehkashaan Main Niklain Ge

Boliaan Zamanay Ki Mukhtalif To Hoti Hain
Lafz Pyaar Ke Lekin Her Zubaan Main Niklain Ge

Kaat Ker Badan Saara Qaash Qaash Main Jhaankain
Aap Ke Heole He Qalb-O-Jaan Main Niklain Ge

Khaak Ka Samander Bhi Kia Ajab Samander Hai
Iss Jahaan Main Doobain Ge Uss Jahaan Main Niklain Ge

Qissa-E-Sukhan'goii Jab Adeem Aye Ga
Hum Bhi Waaqia Ban Ker Dastaan Main Niklain Ge

Sirf Sabz Pattay He Pe'rr Per Nahi Hotay
Kuch Na Kuch Parinday Bhi Aashiaan Main Niklain Ge_____!!
______________________________

Karvaan Badlo Zara Mehmil Badal Ker Dekh Lo

Karvaan Badlo Zara Mehmil Badal Ker Dekh Lo
Aik Manzil To Nahi Manzil Badal Ker Dekh Lo

Kia Hui Mehfil Tumhain Pal Main Pata Chal Jaye Ga
Aik Lamhay Ke Leay Mehfil Badal Ker Dekh Lo

Ye Muhabbat Ka Shajar Hai Ye Yaheen Lag Jaye Ga
Tum Bajaye Nakhl, Aab-O-Gil Badal Ker Dekh Lo

Kion Dubotay Ja Rahay Ho Kashtion Per Kashtian
Duur Hai Saahil To Phir Saahil Badal Ker Dekh Lo

Kaun Kitna Chahta Hai Sab Pata Chal Jaye Ga
Tum Hamaray Sath Apna Dil Badal Ker Dekh Lo

Sirf Do Nuqto'n Main Hai Dunya Ki Saari Roshni
Warna Jo Aankhon Main hai Wo Til Badal Ker Dekh Lo

Sung To Jazbaat Ko Mehsus Ker Sakta Nahi
Wo Jo Seenay Main Dhari Hai Sil Badal Ker Dekh Lo

Itna Naazuk Ayena Rakhna Zaruri To Nahi
Toot'ta Rehta Hai Dil To Dil Badal Ker Dekh Lo

Dooriaan, Dushwariaan Sab Samnay Ajayen Gi
Hum Se Ek Pal Ke Leay Manzil Badal Ker Dekh Lo

Saari Dunya Aik Jesi To Nahi Hoti Adeem
Adal Hai Darkaar To Aadil Badal Ker Dekh Lo

Rehem Aata Jaye Ga Uss Ko Sada Tum Per Adeem
Qatl Hona Chaho to Qaatil Badal Ker Dekh Lo____!!
______________________________

Ker Ke Wafa Palat Ke Wafa Mangnay Laga

Ker Ke Wafa Palat Ke Wafa Mangnay Laga
Kia Zarf Tha Ghari Main Sila Mangnay Laga

Ye Qeht-E-Husn Tha Ke Nihayat Thi Husn Ki
Her Shakhs Uss Haseen Ka Pata Mangnay Laga

Uss Ki Hathelion Pe Khilay Phool Dekh Ker
Her Meh'jabeen Ka Haath Hina Mangnay Laga

Jab Se Usay Azeez Hui Meri Zindagi
Main Apni Zindagi Ki Duaa Mangnay Laga

Seenay Se Aah Aankh Se Aansu Talab Keay
Gham Ka Shajar Bhi Aab-O-Hawa Mangnay Laga

Hamdardiaan Wo Baad-E-Saza Uss Ne Keen Adeem
Jo Be'khata Tha Wo Bhi Saza Mangnay Laga

Halaat Iss Qadar Thay Diger'goon Zameen Ke
Aaker Zameen Pe Bheek Khuda Mangnay Laga_____!!
______________________________

Ager Poocha Ke Mujh Se Kaam Kia Hai Kaya Kahun Ga Mein

Ager Poocha Ke Mujh Se Kaam Kia Hai Kia Kahoonga Main
Kaha Iss Kaam Ka Anjaam Kia Hai Kia Kahoonga Main

Mujhe Pehchaan'nay Se Uss Ne Ger Inkaar Ker Daala
Ager Poocha Ke Tera Naam Kia Hai Kia Kahoonga Main

Payaami Ban Ke Jaon Main Bichharnay Ka, To Kia Boloon
Ager Poocha Tera Paighaam Kia Hai Kia Kahoonga Main

Khushi Ka Din Kisay Kehtay Hain Main Ye To Bata Doonga
Ager Poocha Ghamon Ki Shaam Kia Hai Kia Kahoonga Main

Main Uss Ke Muun Pe Us Ko Bewafa Kehnay Ko To Keh doo'n
Ager Poocha Tera Anjaam Kia Hai Kia Kahoonga Main

Adeem Uss Ko Bura Kehna Mujhe Acha Nahi Lagta
Ager Poocha Tera Ilzaam Kia Hai Kia Kahoonga Main_____!!
______________________________

Dil Ajab Gumbad K Jis Main

Dil ajab gumbad k jis main ik kabutar bhi nahin
Itna viran to murdaron ka muqaddar bhi nahin

Dabati jati hain mitti main badan ki kashtiyan
Dekhane main ye zamin koi samandar bhi nahin

Jitney hangame the sukhi tahaniyon se jhar gaye
Par par phal bhi nahin angan main patthar bhi nahin

Khushk tahani par parinda hai ki patta hai �Adeem'
Ashiyana bhi nahin jis ka koi par bhi nahin

Jitni pyari hain meri dharati jo zanjirain �Adeem'
Itana pyara to kisi dulhan ko zevar bhi nahin_____!!


No comments:

Post a Comment