Zauq-O-Shauq
Daraig Amdam Zaan Hama Bostan
Tahi Dast Raftan Suay Dostan'
�Saadi
Qalb-o-Nazar Ki Zindagi Dast Mein Subah Ka Saman
Chasma'ay Aftab Se Noor Ki Nadiyan Rawan
Husn-e-Azal Ki Hai Namood, Chaak Hai Parda'ay Wajood
Dil Ke Liye Hazar Sood, Aik Nigah Ka Ziyan
Surkh-o-Kabood Badaliyan Chor (Chodh) Gaya Sihab-e-Shab
Koh-e-Idm Ko De Gaya Rand Barang Teelsiyan
Gard Se Pak Hai Hawa, Barg-e-Nakheel Dhul Gaye
Raig-e-Nawah-e-Kazimah Naram Hai Misl-e-Parniyan
Aag Bujhi Hui Idhar, Tooti Hui Tanab Udhar
Kya Khabar Iss Maqam Se Guzaray Hain Kitne Karwan
Ayi Sada'ay Jibreel, Tera Maqam Hai Yehi
Ahl-e-Faraak Ke Liye Ayesh-e-Dawam Hai Yehi
Kis Se Kahon Ke Zehar Hai Mere Liye May'ay Hiyat
Kuhna HAi Bazm-e-Kainat, Taza Hain Mere Wardaat
Kiya Nahin Aur Ghaznavi Kargah-e-Hiyat Mein
Baithe Hain Kab Se Muntazir Ahl-e-Harm Ke Soumanaat
Zikr-e-Arab Ke Souz Mein, Fikr-e-Ajam Ke Saaz Mein
Nay Arabi Mushahidaat, Nay Arbi Takhayyulaat
Kafla'ay Hijaz Mein Aik Hussain(R.A.) Bhi Nahin
Garcha Hai Tabdaar Abhi Gaisu'ay Dajla-o-Firat
Aqal-o-Dil-o-Nigah Ka Murshid-e-Awaleen Hai Ishq
Ishq Na Ho Tou Sharaa-o-Deen, Bott Khudda'ay Tasawwarat
Sidq-e-Khalil(A.S.) Bhi Hai Ishq, Sabr-e-Hussain(R.A.) Bhi Hai Ishq
Maarka'ay Wajood Mein Badar-o-Hunain Bhi Hai Ishq
Aaya'ay Kainat Ka Ma'ani-e-Deeryaab tu
Nikle Teri Talash Mein Kafla Ha'ay Rang-o-Bu
Jalwatiyan-e-Madrasah Kour Nigah-o-Murda Zauq
Khalwatiyan May Kuda Kam Talab-o-Tahi Kadu
Main Ke Meri Ghazal Mein Hain Aatish-e-Rafta Ka Suragh
Meri Tamam Sarguzhast, Khuay Huwon Ki Justajoo
Baad-e-Saba Ki Mouj Se Nashonuma'ay Khar-o-Khs
Mere Nafs Ki Mouj Se Nashonuma'ay Arzoo
Khoon-e-Dil-o-Jigar Se Hai Meri Nawa Ki Parwarish
Hai Rag-e-Saaz Mein Rawan Sahib-e-Saaz Ka Lahoo
'Fursat-e-Kashmakash Madah Ayen Dil-e-Beqarar Ra
Yak Do Shikan Ziada Kun Ghaisu'ay Tabdaar Ra'
Loh Bhi Tu Qalam Bhi Tu, Tera Wajood Al-Kitab
Gunbad-e-Abgina Rang tere Muheet Mein Habab
Alim-e-Aab-o-Khak Mein Tere Zahoor Se Faroug
Zarra'ay Raig Ko Diya Tu Ne Tulu-e-Aftab
Shoukat-e-Sanjar-o-Saleem Tere Jalal Ki Namood
Faqr-e-Junaid(R.A.)-o-Bayazeed(R.A.), Tera Jamal-e-Be-Naqab
Shauq Tera Agar Na Ho Meri Namaz Ka Imam
Mera Qiyam Bhi Hijab, Mera Sajood Bhi Hijab
Teri Nigah-e-Naaz Se Dono Murad Pa Gaye
Aqal Ghiyab-o-Justajoo, Ishq Huzoor-o-Iztarab
Teerah-o-Taar Hai Jahan Gardish-e-Aftab Se
Taba-e-Zamana Taza Kar Jalwa'ay Behijab Se
Teri Nazar Mein Hain Tamam Mere Guzishta Roz-o-Shab
Mujh Ko Khabar Na Thi Ke Hai Ilm-e-Nakheel-e-Be-Rutab
Taza Mere Zameer Mein Ma'arka'ay Kuhan Huwa
Ishq Tamam Mustafavi(S.A.W.), Aqal Tamam Bu-Lahab
Gah Bahila Mee Burad, Gah Bazor Mee Kusah
Ishq Ki Ibtada Ajab, Ishq Ki Intaha Ajab
Alim-e-Souz-o-Saaz Mein Wasal Se Barh Ke Hai Firaaq
Wasal Mein Marg-e-Arzoo, Hijar Mein Lazzat-e-Talab
Ayen-e-Wisal Mein Mujhay Hosla'ay Nazar Na Tha
Gharcha Bahana Joo Rahi Meri Nigah-e-BeAdab
Garmi-e-Arzoo Firaaq, Shorish-e-Ha'ay-o-Hu Firaaq
Mouj Ki Justajoo Firaaq, Qatre Ki Abroo Firaaq ____!!
Read More..
No comments:
Post a Comment