Friday, 7 February 2014

All Poetry Of Adeem Hashmi



















Raaz-E-Dil Aam Kar Gaye Aansu

Raaz-E-Dil aam Kar Gaye Aans
GhaM Ko BadnaaM Kar Gaye Aansu

Aaj Usne Bhi Haal Puchh Liya
Aaj To KaaM Kar Gaye Aansu

Log Phoolon Ke Sath Pahuche The
Aur HuM ThaaM Kar Gaye Aansu

HuM Kisike Na The Magar HuMko
Aap Ke NaaM Kar Gaye Aansu

Har Kisi Ne Lagaya DaaM
GaM Ko NilaaM Kar Gaye Aansu

Dhund Si Chha Gayi Hai Aankhon Mein
Har Taraf ShaaM Kar Gaye Aansu

Baat Mein Bhi Bahut Asar Tha
Aur Kuch KaaM Kar Gaye Aansu

Shayri Sirf Shayri Thi
Usko IlzaaM Kar Gaye Aansu____!!
___________________________

Khaak Par Jab Bikhar Gaye Ansoo

Khaak Par Jab Bikhar Gaye Ansoo
Ye Laga Jaise Mar Gaye Aansoo

Aaj Palko Ki Baarr Phandd Gaye
Aaj Had Sy Guzar Gaye Ansoo

Aasmaan Bhar Gaya Sitaro Sy
Ghum Ki Jholi Main Bhar Gaye Ansoo

Dil Ki Gathri Main Bandh Rakhe Thy
Jane Kaise Bikhar Gaye Ansoo

Apne Ghum Ki Kasafatain B Boht
Usk Ghum Sy Nikhar Gaye Ansoo

Aaj To Ghum Boht Ziada Hai
Aaj Jaane Kidhar Gaye Aansoo

Zabt Sy Ahd Bandh Rakha Hy
Or Phr B Bikhar Gaye Ansoo

Seel E Darya To Kuch Nai Tha
Apne Tofan Sy Darr Gaye Ansoo

Dil Kar'ra To Boht Kia Tha "Adeem"
Waqt E Rukhsat Bikhar Gaye Aansoo________!!
___________________________

Dard Hotey Hain Kayi Dil Main Chupaney K Liye

Dard hote hain kai, dil main chhupane ke liye
Saare aashu nahi hote hain, bahaane ke liye

Umar tanha kaat di wada nibhane ke liye
Ahad bandha tha koi aazmane ke liye

Kuch diye diwar pe rakhe tere intezar main
Kuch diye laya hu palko pe sajaane ke liye

Wo musafir to  mile the ek lamhe ke liye
Umar sari kat di unko bhulane ke liye

Koi gam ho koi dukh ho dard ho koi
Muskrana pad hi jata hai jamaane ke liye_____!!
___________________________

Zindagi Sirf  Isi Dhun Main Guzarey Jayen

Zindagi sirf issi dhun main guzarey jayen
Bass tera naam, tera naam pukarey jayen

Jab yeh tay hai ke yahan koi nahin aye ga
Kis ki khatir dar-o-deewar sanwarey jayen

Aik tujh tak na pohanch paye mere dard ki aanch
Aasman tak to mere gham ke sharaarey jayen

Jab mulaqat na thi tab to koi baat na thi
Ab yeh tanhai ke din kese guzarey jayen

Yahan ghamkhawaar nahin hai wahan azaar nahin
Kiss jahan mein yeh tere dard ke maarey jayen

Main andheron mein nahin main to wahan jaon ga
Woh jahan sath mere chaand sitarey jayen

Jeet kar to kahin le jaye musalsal hum ko
Aur hum roz teri chaah mein haarey jayen

Marg-e-jaan na sahi, marg-e-mohabbat hi sahi
Zindagi kuch to tera qarzz utarey jayen

Fasilon se na hua josh-e-mohabbat ka ilaaj
Yeh to kuch aur bhi jazbon ko ubhaarey jayen

Bazm-e-ehbaab to tasveer ka ik rukh hai Adeem
Is mein dushman bhi to do chaar hamarey jayen

Wassl ke baad mohabbat ki sazaa theek Adeem
Maarey jayen bhi to kyon muft main maarey jayen____!!

Read More..

No comments:

Post a Comment