Age Bare Na Qissa-E-Ishq-E-Butan Se Ham
Age Bare Na Qissa-E-Ishq-E-Butan Se Ham
Sab Kuch Kaha Magar Na Khule Razdan Se Ham
Ab Bhagte Hain Saya-E-Ishq-E-Butan Se Ham
Kuch Dil Se Hain Dare Hue Kuch Asman Se Ham
Hanste Hain Us K Giriya-E-Beikhtiyar Par
Bhule Hain Bat Kah K Koi Razadan Se Ham
Ab Shauq Se Bigar K Baten Kiya Karo
Kuch Pa Gaye Hain Ap Ki Tarz-E-Bayan Se Ham
Jannat Mein Tu Nahin Agar Ye Zakhm-E-Teg-E-Ishq
Badlenge Tujhko Zindagi-E-Jawidan Se Ham_____!!
Kehne Ki Bat Ho To Use Kah Sunayiye
Kehne Ki Bat Ho To Use Kah Sunayiye
Jo Dil Pe Ban Rahi Ho, Kyon Kar Dikhayiye
Dunya Ki Ho Hawas To Dil-O-Din Ginwayiye
Yan Khoyiye Bahut-Sa To Kuch Ja K Payiye
Ye Kya K Dil Hai Dair Mein Aur Kabe Mein Maqam
Ho Rahiye Bas Wahin K, Jahan Dil Lagayiye
Gar Jan Ka Zarar Hai Mohabbat Mein Naseho
Ham Jan Hi Se Baithe Hain Bezar Jayiye
Aur Aitabar Khote Hi Apna Raha-Saha
Bas A Gaya Yaqin Hamein, Qasmein Na Khayiye
Hoti Hujum-E-Gam Mein Hai, Kyon Zahar Ki Talash
�Hali� Batayen Ap Ko, Gar Kuch Khilayiye____!!
Dhoom Thi Apni Parsai Ki
Dhoom Thi Apni Parsai Ki
Ki Bhi Aur Kis Se Ashnai Ki
Kyon Barhte Ho Ikhtilat Bahut
Ham Mein Taqat Nahin Judai Ki
Munh Kahan Tak Chupaoge Ham Se
Ham Ko Adat Hai Khudnumai Ki
Lag Mein Hai Lagw Ki Baten
Sulah Mein Cher Hai Larai Ki
Dil Bhi Pahlu Mein Ho To Yan
Kis Se Rakhiye Ummid Dil-Rubai Ki
Na Mila Koi Garat-E-Iman
Rah Gai Sharm Parsai Ki
Maut Ki Tarah Jis Se Darte The
Saat A Pahunchi Us Judai Ki
Zinda Phirne Ki Hai Hawas �Hali�
Intaha Hai Ye Behayai Ki_____!!
Age Bare Na Qissa-E-Ishq-E-Butan Se Ham
Age Bare Na Qissa-E-Ishq-E-Butan Se Ham
Sab Kuch Kaha Magar Na Khule Razdan Se Ham
Ab Bhagte Hain Saya-E-Ishq-E-Butan Se Ham
Kuch Dil Se Hain Dare Hue Kuch Asman Se Ham
Hanste Hain Us K Giriya-E-Beikhtiyar Par
Bhule Hain Bat Kah K Koi Razadan Se Ham
Ab Shauq Se Bigar K Baten Kiya Karo
Kuch Pa Gaye Hain Ap Ki Tarz-E-Bayan Se Ham
Jannat Mein Tu Nahin Agar Ye Zakhm-E-Teg-E-Ishq
Badlenge Tujhko Zindagi-E-Jawidan Se Ham____!!
Haq Wafa Ka Jo Hum Jataney Lagey
Haq wafa ka jo ham jatane lage
Ap kuch kah ke muskurane lage
Hum ko jeena padega furqat mein
Wo agar himmat azmane lage
Dar hai meri zuban na khul jaye
Ab wo baten bahot banane lage
Jaan bachti nazar nahin aati
Ghair ulfat bahot jatane lage
Tum ko karna padega uzr-e-jafa
Hum agar dard-e-dil sunane lage
Bahot mushkil hai shewa-e-tasleem
Hum bhi akhir ko jee churane lage
Waqt-e-rukhsat tha sakht "Hali" par
Hum bhi baithe the jab wo jane lage___!!
Hai Justajou K Khoob Say Hai Khoob_tar Kahan
Hai justajoo ke khoob se hai khoobtar kahan
Ab dekhiye theharti hai ja kar nazar kahan
Yarab is ikhtilat ka anjam ho bakhair
Tha us ko hum se rabt, magar is qadar kahan
Ek umr chahye ke gawara ho naish-e-ishq
Rakkhi hai aaj lazzat-e-zakhm-e-jigar kahan
Hum jis pe mar rahe hain wo hai baat hi kuch aur
Alam mein tujhse lakh sahi tu magar kahan
Hoti nahin qubool dua tark-e-ishq ki
Dil chahta na ho to zuban mein asar kahan
'Hali' nishat nagma-o-mai dhundhte ho ab
Aye ho waqt-e-subh, rahe rat bhar kahan_____!!
No comments:
Post a Comment