Sach Hai Hameen Ko Aap Ke Shikway Bajaa Na Thay
Sach Hai Hameen Ko Aap Ke Shikway Bajaa Na Thay
Be-Shak Sitam Janaab Ke Sab Dostaana Thay
Haan Jo Jafaa Bhi Aap Ne Ki, Qaaiday Se Ki
Haan Ham Hee Kaar Band-e-Asool-e-Wafa Na Thay
Aaye Tou Yun Ke Jaisay Hamesha Thay Meherbaan
Bhoolay Tou Yun Ke Goya Kabhi Aashna Na Thay
Kyun Daad-e-Gham Ham Ne Talab Ki, Buraa Kiya
Ham Se JahaaN Mein Kushta-e-Gham Aur Kya Na Thay
Gar Fikr-e-zaKhm Ki Tou Khataavaar Hain Ke Ham
Kyun Mahv-e-Madh-e-Khuubi-e-Teg-e-Adaa Na Thay
Har Chaarahgar Ko Chaarahgari Se Guraiz Tha
Warna Hamain Jo Dukh Thay, Bohat La-Dawaa Na Thay
Lab Per Hai Talkhi-e-Mey-e-Ayaam, Warna �Faiz�
Ham Talkhi-e-Kalaam Pe Maail Zaraa Na Thay____!!
Raaz-E-Ulfat Chhupa Ke Dekh Lia
Raaz-E-Ulfat Chhupa Ke Dekh Lia
Dil Bohat Kuch Jalaa Ke Dekh Lia
Aur Kia Dekhnay Ko Baaki Hai ?
Aap Se Dil Lagaa Ke Dekh Lia
Wo Mere Ho Ke Bhi Mere Na Howay
Un Ko Apna Banaa Ke Dekh Lia
Aaj Unki Nazar Mein Kuch Ham Ne
Sab Ki Nazrain Bacha Ke Dekh Lia
�Faiz� Takmeel-e-Gham Bhi Na Ho Saki
Ishq Ko Aazmaa Ke Dekh Lia_____!!
Ham Parwarish-E-Loh-o-Qalam Kartay Rahain Gey
Ham Parwarish-e-Loh-o-Qalam Kartay Rahain Ge
Jo Dil Pe Guzarti Hai, Raqam Kartay Rahain Ge
Asbaab-e-Gham-e-Ishq Behem Kartay Rahain Ge
Veeraani-e-Dauraan Pe Qaram Kartay Rahain Ge
Haan Talkhi-e-Ayyaam Abhee Aur Barhay Gi
Haan Ahl-e-Sitam, Mashq-e-Sitam Kartay Rahain Ge
Manzoor Ye Talkhi, Ye Sitam Ham Ko Ganwaara
Dam Hai Tou Madawaa-e-Alam Kartay Rahain Ge
Mey Khaana Salaamat Hai, Tou Ham Surkhi Mey Se
Tazeen-e-Dar-o-Baam-e-Haram Kartay Rahain Ge
Baaqi Hai Lahuu Dil Mein Tou Har Ashq Se Paida
Rung-e-Lab-o-Rukhsaar-e-Sanam Kartay Rahain Ge
Ik Tarz-e-Taghaaful Hai So Wo Un Ko Mubaarak
Ik Arz-e-Tamanna Hai So Ham Kartay Rahain Gey____!!
Pindaar K Khogar Ko Naqaam Bhi Dekho Gey
Pindaar Ke Khogar Ko Naqaam Bhi Dekho Ge?
Aaghaaz Se Waaqif Ho Anjaam Bhi Dekho Ge?
Rungini-o-Duniya Se Mayoos Sa Ho Jana
Dukhta Howa Dil Le Kar Tanhaayi Mein Kho Jaana
Tarsi Howi Nazron Ko Hasrat Se Jhuka Lena
Faryaad Ke Tukron Ko Aahon Mein Chhupa Lena
Raaton Ki Khamooshi Mein Chhup Kar Kubhi Ro Lena
Majboor Jawaani Ke Malboos Ko Dho Lena
Jazbaat Ki Wusat Ko Sajdon Se Basaa Lena
Bhooli Howi Yaadon Ko Seenay Se Laga Lena____!!
Dono Jahan Teri Mohabbat Main Haar K
Dono Jahan Teri Mohabbat Main Haar K
Wo Ja Raha Hai Koi Shab-e-Gham Guzaar K
Viraan Hai Maikada Khum-o-Sagar Udaas Hai
Tum Kya Gaye K Rooth Gaye Din Bahaar K
Ik Fursat-e-Gunah Mili, Wo Bhi Chaar Din
Dekhe Hain Ham Ne Hausale Parvar-Digaar K
Duniya Ne Teri Yaad Se Begaana Kar Diya
Tujh Se Bhi Dil Fareb Hain Gham Rozgaar K
Bhule Se Muskura To Diye The Wo Aaj �Faiz�
Mat Puch Val-Vale Dil-e-Na-Kardahkaar K_____!!
Hum K Thehray Ajnabi Itni Madaraton Ke Baad
Hum Ke Thehray Ajnabi Itni Madaraton Ke Baad
Phir Banain Ge Aashna Kitni Mulaqaaton Ke Baad ?
Kub Nazar Mein Aaye Gi Be-Daagh Sabzay Ki Bahaar
Khoon Ke Dhabbay Dhulain Ge Kitni Barsaaton Ke Baad ?
Thay Bohat Be-Dard Lamhay Khatam-e-Dard-e-Aashiqui Ke
Theen Bohat Be-Meher Subhain Meherbaan Raaton Ke Baad
Dil Tou Chaaha Per Shikast-e-Dil Ne Mohlat Hee Na Di
Kuch Gilay Shikway Bhi Kar Laitay Manajaaton Ke Baad
Un Se Jo Kehnay Gaye Thay �Faiz� Jaan Sadqa Kye
An Kahee Hee Reh Gayi Wo Baat Sab Baaton Ke Baad___!!
Naseeb Aazmaane Ke Din Aa Rahe Hain
Naseeb Aazmaane Ke Din Aa Rahe Hain
Qareeb Un Ke Aane Ke Din Aa Rahe Hain
Jo Dil Se Kaha Hai Jo Dil Se Suna Hai
Sab Un Ko Sunane Ke Din Aa Rahe Hain
Abhi Se Dil-O-Jaan Sar-E-Raah Rakh Do
Ke Lutne Lutaane Ke Din Aa Rahe Hain
Tapakne Lagi Un Nigaahon Se Masti
Nigahain Churaane Ke Din Aa Rahe Hain
Saba Phir Hamain Puuchti Phir Rahi Hai
Chaman Ko Sajaane Ke Din Aa Rahe Hain
Chalo �Faiz� Phir Se Kahin Dil Lagain
Suna Hai Thikaane Ke Din Aa Rahe Hain____!!
Hasrat-E-Deed Mein Guzraan Hain Zamaney Kab Say
Hasrat-e-deed mein guzraan hain zamaney kab se
Dasht-e-umeed mein gardaan hain dawaney kab se
Der se ankh mein utra nahin askhon ka azaab
Apne zimey hain tera farz najaney kab se
Kis tarah paak ho be-arzu lamhon ka azaab
Dard aya nahin darbaar sjanaey kab se
Sar Karo saaz ke cherrein koi dil sooz ghazal
Dhoondta hai dil-e-shoreeda bahaney kab se
Pur karo jaam ke shayed ho isi lahta rawaan
Rok rakha hai jo ik teer kazzaa ne kab se
Faiz phir kab kisi maktal mein karain ge abad
Lab pe veeran hain shaheedon ke fasaney kab se____!!
Dil Mein Ab Youn Tere Bhooley Huwey Gham Aatey Hain
Dil mein ab yun tere bhooley howey gham ate hain
Jese bichre huye kaabey mein sanam ate hain
Ek ek kar ke huye jate hain diye tarey roshan
Meri manzil ki taraf tere kadam ate hain
Raqs-e-meh tez karo, Saaz ki leh tez karo
Suye meh-khana safeeran-e-haram ate hain
Kuch humain tou nahin ehsan uthaney ka dimagh
Woh tou jab ate hain mayel be-karam ate hain
Aur kuch der na guzrey shab-e-furkat se kaho
Dil bhi kam dukhta hai, woh yaad bhi kam ate hain_____!!
Aiye Hath Uthayen Hum Bhi
Aiye hath uthayen ham bhi
Ham jinhen rasm-e-dua yad nahin
Ham jinhen soz-e-mohabbat k siwa
Koi but, koi khuda yad nahin
Aiye arz guzaren ki nigar-e-hasti
Zahar-e-imaroz main shirini-e-fardan bhar de
Wo jinhen tabe garanbari-e-ayyam nahin
Unki palkon pe shab-o-roz ko halka kar de
Jinki ankhon ko rukh-e-subh ka yara bhi nahin
Unki raton main koi shama munawwar kar de
Jin k qadamon ko kisi rah ka sahara bhi nahin
Unki nazron pe koi rah ujagar kar de
Jinka din pairavi-e-kazbo-riya hai unko
Himmat-e-kufr mile, jurat-e-tahaqiq mile
Jink sar muntazir-e-teg-e-jafa hain unko
Dast-e-qatil ko jhatak dene ki taufiq mile
Ishq ka sarr-e-nihan jan-tapan hai jis se
Aj iqrar karen aur tapish mit jaye
Harf-e-haq dil main khatakta hai jo kante ki tarah
Aj izhar karen or khalish mit jaye_____!!
Koi Sheesha O Sharab Main Mast
Koi Sheesha O Sharab Main Mast
Koi Lazat Shabab Mein Mast
Mubtla Hein Sabhi Kahin Na Kahin
Main Bhi Hon Apne Khawab Mein Mast_____!!
Tmhaari Yaad K Jab ZaKhm Bharane Lagate Hain
Tmhaarii Yaad Ke Jab ZaKhm Bharane Lagate Hai.N
Kisii Bahaane Tumhe.N Yaad Karane Lagate Hai.N
Hadiis-E-Yaar Ke Unavaa.N Nikharane Lagate Hai.N
To Har Hariim Me.N Gesuu Sa.Nvarane Lagate Hai.N
Har Ajanabii Hame.N Maharam Dikhaa_ii Detaa Hai
Jo Ab Bhii Terii Galii Galii Se Guzarane Lagate Hai.N
Sabaa Se Karate Hai.N Gurbat-Nasiib Zikr-E-Vatan
To Chashm-E-Subah Me.N Aa.Nsuu Ubharane Lagate Hai.N
Vo Jab Bhii Karate Hai.N Is Nutq-O-Lab Kii BaKhiyaagarii
Fazaa Me.N Aur Bhii NaGme.N Bikharane Lagate Hai.N
Dar-E-Qafas Pe A.Ndhere Kii Muhar Lagatii Hai
To �Faiz� Dil Me.N Sitaare Utarane Lagate Hai.N_____!!
Vo Buton Ney Daaley Hain Vasvasey K Dilon Sey Khauf-E-Khudaa Gayaa
Woh Button Ne Dale Hain Was-Wase Ke Dilon Se Khof-E-Khuda Gia
Woh Pari Hain Roz Qiamtain K Khial-E-Roz-E-Jaza Gia
Jo Nafas Tha Khargoo Bana, Jo Uthe To Haath Lahoo Hue
Woh Nishat-E-Ah-E-Sehar Gayee Woh Waqar Dast-E-Dua Gia
Jo Talab Pe Ehd-E-Wafa Kia To Aabroo-E-Wafa Gayee
Sar-E-Aam Hue Jab Muddaee To Sawab-E-Sidaq-O-Safa Gia
Abhi Badban Ko Teh Rakho Abhi Muztarab Hay Rukh-E-Hawa
Kisi Raste Main Hay Muntazir, Woh Sakoon Jo Aa K Chala Gia_______!!
Dasht-E-Tanhaai Men Ay Jaan-E-Jahaan Larzaan Hain
Dasht-E-Tanhaa_ii Me.N Ai Jaan-E-Jahaa.N Larzaa.N Hai.N
Terii Aavaaz Ke Saaye Tere Ho.NTho.N Ke Saraab
Dasht-E-Tanhaa_ii Me.N Duurii Ke Khas-O-Khaak Tale
Khil Rahe Hai.N Tere Pahaluu Ke Saman Aur Gulaab
UTh Rahii Hai Kahii.N Qurbat Se Terii Saa.Ns Kii Aa.Nch
Apanii Khushbuu Me.N Sulagtii Hu_ii Maddham Maddham
Duur Ufaq Par Chamakatii Hu_ii Qatraa Qatraa
Gir Rahii Hai Terii Dil_daar Nazar Kii Shabnam
Us Qadar Pyaar Se Ai Jaan-E JahaaN Rakkhaa Hai
Dil Ke RuKhsaar Pe Is Vaqt Terii Yaad Ne Haath
Yuu.N Gumaa.N Hotaa Hai Garche Hai Abhii Subah-E-Firaaq
Dhal Gayaa Hijr Kaa Din Aa Bhii Ga_ii Vasl Kii Raat_______!!
Yuon Sajaa Chaand Ki Jhalakaa Tere Andaaz Ka Rang
Yuu.N Sajaa Chaa.Nd Ki Jhalakaa Tere A.Ndaaz Kaa Rang
Yuu.N Fazaa Mahakii Ki Badalaa Mere Hamaraaz Kaa Rang
Saayaa-E-Chashm Me.N Hairaa.N RuKh-E-Raushan Kaa Jamaal
SurKhii-E-Lab Pe Pareshaa.N Terii Aavaaz Kaa Rang
Bepiye Ho.N Ki Agar Lutf Karo AaKhir-E-Shab
Shiishaa-E-May Me.N Dhale Subah Ke AaGaaz Kaa Rang
Cha.Ngo-Nay Rang Pe The Apane Lahuu Ke Dam Se
Dil Ne Lay Badalii To Madham Huaa Har Saaz Kaa Rang
Ik SuKhan Aur Ki Phir Rang-E-Takallum Teraa
Harf-E-Saadaa Ko Inaayat Kare Ejaaz Kaa Rang_____!!
No comments:
Post a Comment