Friday, 7 February 2014

Best Poetry Of Ahmad Nadeem Qasmi




















Labon Pay Naram Tabassum Rachaa K Dhul Jaayein

Labon pe narm tabassum rachaa ke dhul jaayeN
Khudaa kare mere aaNsuu kisii ke kaam aayeN

Jo ibtadaa-e-safar mein diye bujhaa baiThe
Wo bad_nasiib kisii kaa suraaG kyaa paayeN

Talaash-e-husn kahaaN le chalii Khudaa jaane
Umang thii ki faqat zindagii ko apanaayeN

Bulaa rahe hain ufaq par jo zard-ruu Tiile
Kaho to ham bhii fasaane ke raaz ho jaayeN

Na kar Khudaa ke liye baar-baar zikr-e-bahisht
Hum aasmaaN kaa mukarrar fareb kyun khaayeN

Tamaam maikadaa sun_saan maigusaar udaas
Labon ko khol kar kuchh sochatii hain miinaayeN____!!
_________________________

Love Land

O sufferers from intense nervous tension
Listen, there's a love land nearby
Here, thick smoke has screened all scenes
From there, the sky of immortality may
be seen most clearly
Here you can't catch your own speech
Even Divine breath is audible over there____!!
_________________________

Love Of Man

I swear
I've spent my whole life
in worship
Just look at my account sheet
I've always loved Mankind_______!!
_________________________

Mein Tujh Ko Bhool Chuka

Mein tujh ko bhool chuka, Lekin aik umar ke baad
Tera kheyal kya tha ke chott ubhar aayi________!!
_________________________

Mein Bhi Fani Hun Tou Bhi Fani Hai

Har musarat se sargarani hai
Kya yehi aalim jawani hai
Aa tujhe aik raaz batlaaon
Mein bhi fani hon, Tu bhi fani hai____!!
_________________________

Mujhe Kal Mera Ek Sathi Mila

Mujhe kal meraa ek saathii milaa
Jis ne ye raaz kholaa
K ab jazbaa-o-shauq kii vahashaton ke zamaane gaye
Phir vo aahistaa-aahistaa chaaron taraf dekhataa
Mujh se kahane lagaa
Ab bisaat-e-muhabbat lapeTo
Jahaan se bhii mil jaayen daulat - sameTo
Garz kuchh to tahaziib siikho_______!!
_________________________

Pressure

On blooming
The flower said
I cannot control my beauty now
For I've gone beyond
My own reach____!!
_________________________

Shaam Ko Subh-E-Chaman Yaad Aai

Shaam ko subah-e-chaman yaad aai
Kis kii Khushbuu-e-badan yaad aai

Jab Khayaalon mein koi morr aayaa
Tere gesuu kii shikan yaad aai

Yaad aaye tere paikar ke Khutuut
Apanii kotaahii-e-fan yaad aai

ChaaNd jab duur ufaq par Duubaa
Tere lahaje kii thakan yaad aai

Din shuaao.n se ulajhate guzaraa
Raat aai to kiran yaad aai____!!
_________________________

Tujhe Kho Kar Bhii Tujhey Paaon Jahaan Tak Dekhuun

Tujhe Kho kar bhii tujhe paauuN jahaaN tak dekhuuN
Husn-e-yazdaaN se tujhe husn-e-butaaN tak dekhuuN

Tuune yuuN dekhaa hai jaise kabhii dekhaa hii na thaa
MaiN to dil meN tere qadmoN ke nishaaN tak dekhuuN

Sirf is shauq meN puuchii haiN hazaaroN baateN
MaiN teraa husn, tere husn-e-bayaaN tak dekhuuN

Waqt ne zehn meN dhundhlaa diye tere khadd-o-Khaal
YouN to maiN TuuTte taaroN kaa dhuaaN tak dekhuuN

Dil gayaa thaa to ye aaNkhen bhii ko'ii le jaataa
Main faqat ek hii tasviir kahaan tak dekhuuN

Ek haqiiqat sahii firdaus meN huuroN kaa vajuud
Husn-e-insaan se nipat luuN to vahaan tak dekhuuN____!!
_________________________

Twists And Turns Of Body And Soul

How transparant is your body
As you passed by me yesterday
I saw your face
Showing lake-like peace
But, when my glance fell
Upon your heart
I saw a hellish turmoile
Seemingly resulting from
Some terrible earthquake_______!!
_________________________

Wo Koi Aur Na Thaa Chand Khushk Pattey Thet

Wo ko_ii aur na thaa chand Khushk patte the
Shajar se TuuT ke jo fasl-e-gul pe roye the

Abhii abhii tumhe.n sochaa to kuchh na yaad aayaa
Abhii abhii to ham ek-duusare se bichha.De the

Tumhaare baad chaman par jab ik nazar Daalii
Kalii kalii me.n Khizaa.N ke chiraaG jalate the

Tamaam umr vafaa ke gunaah_gaar rahe
Ye aur baat ki ham aadamii to achchhe the

Shab-e-Khaamosh ko tanhaa_ii ne zabaa.N de dii
Pahaa.D guu.Njate the dasht san_sanaate the

Wo ek baar mare jin ko thaa hayaat se pyaar
Jo zindagii se gurezaa.N the roz marate the

Naye Khayaal ab aate hai.n Dhal ke zahan me.n
Hamaare dil me.n kabhii khet lah_lahaate the

Ye iratiqaa kaa chalan hai ki har zamaane me.n
Puraane log naye aadamii se Darate the

'Nadeem' jo bhii mulaaqaat thii adhuurii thii
Ki ek chehare ke piichhe hazaar chehare the___!!

Read More..

No comments:

Post a Comment