Thursday 6 February 2014

Best Poetry Of Parveen Shakir



















Wo Aks-e-Mauja-e-Gul Tha, Chaman Chaman Mein Raha

Wo Aks-e-Mauja-e-Gul Tha, Chaman Chaman Mein Raha
Wo Rang Rang Mein Utraa, Kiran Kiran Mein Raha

Wo Naam Haasil-e-Fun Ho Ke Mere Fun Mein Raha
Ke Rooh Ban Ke Meri Soch Ke Badan Mein Raha

Sakoon-e-Dil Ke Lye Mein Kahan Kahan Na Gayi
Magar Ye Dil, Ke Sadaa Oski Anjuman Mein Raha

Wo Sheher Waalon Ke Aagay Kaheen Mohazzib Tha
Wo Ek Shakhs Jo Sheheron Se Door Ban Mein Raha

Charaagh Bujhtay Rahay Aur Khwaab Jaltay Rahay
Ajeeb Tarz Ka Mausam Mere Watan Mein Raha_______!!
____________________________

Dard Phir Jaga Purana Zakhm Phir Taaza Hua

Dard phir jaaga,purana zakhm phir taaza hua
Fasl e gul kitnay qareeb aaii hai,andaza hua

Subha yuun nikli,sanwar kay jis terha koi dulhan
Shabnam aawaiza hui,rang e shafaq ghaza hua

Haath meray bhool bethay dastaken dainay ka fun
Band mujh par jab say us kay ghar ka darqaza hua

Rail ki seeti men kesay hijr ki tamheed thi
Us ko rukhsat kar kay ghar loatay to andaza hua____!!
____________________________

Agarche Tujh Se Bohat Ikhtilaaf Bhee Na Howa

Agarche Tujh Se Bohat Ikhtilaaf Bhee Na Howa
Magar Ye Dil Teri Jaanib Se Saaf Bhee Na Howa

Taaluqaat Ke Barzakh Mein Hee Rakha Mujhko
Wo Mere Haq Mein Na Tha Aur Khilaaf Bhee Na Howa

Ajab Tha Jurm-e-Mohabbat Ke Jis Pe Dil Ne Mere
Saza Bhee Paayi Nahee Aur Maaf Bhee Na Howa

Malaamaton Mein Kahan Saans Le Sakain Ge Wo ?
Ke Jin Se Ko-e-Jafa Ka Tawaaf Bhee Na Howa

Ajab Nahee Hai Ke Dil Per Jami Masli Kaayi
Bohat Dinon Se Tou Ye Houz Saaf Bhee Na Howa

Hawa-e-Deher ! Humain Kis Liye Bujhaati Hai ?
Humain Tou Tujh Se Kubhi Ikhtilaaf Bhee Na Howa____!!
____________________________

Waqt K Sath Anaasar Bhi Rahey Sazish Mein

Waqt ke sath anaasar bhi rahe sazish mein
Jal gaye pairr kabhi dhoop kabhi barish mein

Woh tou ik saada-o-kam shauq ka talib nikla
Hum ne naahiq hi ganwaya usey aarayesh mein

Zindagi ki koi mehroomi nahin yaad ayi
Jab talak hu mthey tere qurb ki asaayesh mein

Aik dunya ka qaseeda tha agarche mere naam
Lutf aata tha kisi shakhs ki fehmayesh mein

Us ki ankhen bhi meri tarah se girdi kahin aur
Khawb ka qarz barh jata hai ik khawish mein____!!
____________________________

Ab Bhala Chorh Ke Ghar Kia Kartay

Ab Bhala Chorh Ke Ghar Kia Kartay
Shaam Ke Waqt Safar Kia Kartay

Teri Masroofiatain Jaantay Hain
Apne Aanay Ki Khabar Kia Kartay

Jab Sitaaray Hee Nahi Mil Paaye
Le Ke Ham Shams-o-Qamar Kia Kartay

Wo Musaafir Hee Khuli Dhoop Ka Tha
Saaye Phaila Ke Shajar Kia Kartay

Khaak Hee Awwal-o-Aakhir Thehri
Kar Ke Zarray Ko Gohar Kia Kartay

Raaye Phele Se Bana Li TU Ne
Dil Mein Ab Ham Tere Ghar Kia Kartay

Ishq Ne Saaray Saleeqay Bakhshay
Husn Se Kasb-e-Hunar Kia Kartay____!!
____________________________

Agar Ban Mein Rehna Muqadar Hai

Agar ban mein rehna mukadar hai
Aur yeh aik teh-shuda amar bhi hai
Ke har ban mein bas bherriye muntazir hain mere
Tou yeh sochti hoon
Ke is soorat-e-haal mein
Kyon na phir
Apni marzi ke jungle mein ja basoon__!!
____________________________

Wo Ehad Ehad He Kaya Jisey Nibhao Bhi

Wo ehad, ehad hi kya jise nibhao bhi
Hamaare vadaa-e-ulfat ko bhul jaao bhi

Bhala kaha ke ham aise gumaan valey hein
Hazar baar ham aaye hamein bulaao bhi

Bigar chala hai bahut rasm-e-Khud_kushi ka chalan
Daraane valo kisi roz kar dikhao bhi

Tumhari neend mey Dubi hui aankho ki qasam
Hamin ye zid hai k jaago bhi aur jagaao bhi______!!
____________________________

Wo Rut Bhi Aai Ke Mai Phool Ki Sahaili Hui

Wo Rut Bhi Aai Ke Mai Phool Ki Sahaili Hui
Mehek Mai Champa Kali, Roop Mai Chambeli Hui

Wo Sard Raat Ki Barkha Se Kiyu Na Pyaar Karun ?
Yeh Rut To Hai Mere Bachpan Ke Saath Kheli Huii

Zameen Pe Paaon Nahi Par Rahe Takabbur Se
Nigar-E-Gham Koi Dulhan Nai Nawaili Huii

Wo Chaand Ban Ke Mere Saath Saath Chalta Raha
Mai Us Ke Hijr Ki Raaton Mai Kab Akaili Huii ?

Jo Harf-E-Saada Ki Surat Hamesha Likhi Gai
Wo Larki Tere Liye Kis Tarah Paheli Huii ?
____________________________

Tum Sey Kitna Pyar hai Dil Me Utar Ke Dekh Lo

Tum Sey Kitna Pyar hai Dil Me Utar Ke Dekh Lo
Na Yaqeen Aaye To Phir Dil Badal Ke Dekh Lo

Hum Ne Apni Har Saanss Per Naam Tera Likh Dia
Ek Tujhe Paane Ki Khatir Khud Ko Pagal Kar Dia

Ishq Me Tum Bhi Sanam Hadh Se Guzar Ke Dekh Lo
Tum Sey Kitna Pyar Hai Dil Me Utar Ke Dekh Lo

Jaane Kyun Saare Jahaan Se Ho Gayi Bekhabar
Jab Se Tum Ankhoon Me Aaye Jaagti Hai Ye Nazar

Apny Ratoon Se Meri Ratein Badal Ke Dekh Lo
Tum Sey Kitna Pyar Hai Dil Me Utar Ke Dekh Lo_____!!
____________________________

Kaya Kya Na Khawab Hijar K Mosam Mein Kho Gaye

Kya kya na khawb hijar ke mausam mein kho gaye
Hum jagte rahe they magar bakht so gaye

Us ne peyaam bheje to raste mein reh gaye
Hum ne jo khat likhe woh hawaa burd ho gaye

Mein sheher e gul mein zakham ka chehra kisey dikhaon
Shabnam badast log tou kantey chubho gaye

Aanchal mein phool le ke kahan ja rahi hoon mein
Jo aney waley log they, woh log to gaye

Kya janiye ufq ke udhar kya talism hai
Lautey nahin zameen pe ik baar jo gaye

Jese badan se qos-e-qaza phootne lagi
Barish ke haath phool ke sab zakhm dho gaye

Ankhon mein dheere dheerey utar ke puraney gham
Palkon main nanhe nanhe sitarey piro gaye

Woh bachpney ki need tou ab khawb ho gayi
Kya umar thi ke raat huyi aur so gaye

Kya dukh they, kon jaan sake ga, nigar-e-shab
Jo mere aur tere dupatey bhigo gaye_____!!
____________________________

Ik Umar K  Baad Us Ko Dekha

Ik umar ke baad us ko dekha
Aankhon mein sawaal they hazaaron
Honton pe magar wohi tabasum
Chehrey pe likhi huyi udaasi
Lehjey mein magar balaa ka thehrao
Awaaz main goonjti judai
Baanhen thi magar wisaal-e-samaan
Simtti huyi baazuyon mein
Taa�der mein sochti rahi thi
Kis abr-e-gurez paa ki tarah
Main kis shajar se katt gayi thi
Kis chaaon ko tark kar diya tha
Main us ke galey lagi huyi thi
Woh ponchh raha tha mere aansu
Lekin barri dair ho chuki thi_____!!
____________________________

Woh Ho Khushboo Hai, Hawaon Main Bikhar Jaaye Ga

Woh to khushboo hai, hawaon main bikhar jaae ga
Maslaa to phool ka hai phool kidar jaae ga

Hum tou samjhe the ke ik zakhm hai bhar jaae ga
Kya khabar the keh rag e jaan main utar jaae ga

Woh hawaon ki tarhan khana e bajaan phirta hai
Ik jhonka hay jo aye ga, guzar jaae ga

Woh jab aye ga to phir uski rafaqat ke liye
Mousam e gul mere angan main theher jaae ga

Aakhrish woh bhi kahin rait pe bethe honge
Tera yeh pyar bhi daryaa hai utar jaae ga

Mujhko tehzeeb ke barzhak ka bana dia waris
Jurm yeh bhi mere ajdaad ke sar jaae ga____!!
____________________________

Shajar Ke Haath Mein Ek Zard Phool Baaqi Hai

Shajar Ke Haath Mein Ek Zard Phool Baaqi Hai
Abhi Libaas-e-Musaafir Pe Dhool Baaqi Hai

Mere Qabeelay Mein Niklay Subhi Farokhtni
Na Koi Waada Na Koi Usool Baaqi Hai

Duroon-e-Sheher Gulaabon Ki Baa�r Khatam Howi
Kinaaray Sheher Puraani Babool Baaqi Hai

Hawa-e-Sheher-e-Sitam Ko Abhi Pata Na Chalay
Mere Dupattay Mein Ik Surkh Phool Baaqi Hai____!!

Read More..

No comments:

Post a Comment